Be’gunaahi ki sazaa kaat raha hoon,
bas itna hi kaha tha ki wahan laash padi hai …!
Printable View
Be’gunaahi ki sazaa kaat raha hoon,
bas itna hi kaha tha ki wahan laash padi hai …!
Mere din badalne waale hain shayad,
ab mujhe raaton ko neend aati hai. !
Paaon latkaa ke duniya ki taraf,
aao baithen kisi sitaare par . !
Ussi dariya-dili se aa milo,
jaise jhelum – chenab milte hain …!
Dekh lo har taraf daraar’en hain ,
Dil hua hai makaan mitti ka …!
Log deewaar dekhte honge,
teri aankhen bana ke aaya hun …!
Har saans ukhad jaane ki koshish mein pareshaan,
seene mein koi hai jo giraftaar bahut hai …!
Hum jise apna chaand kehte the,
us ne taare dikha diye hum ko …!
Chalo ki hum bujhe bujhe se ghar ka marsiya kahen,
woh chaand toh utar gaya haweliyon ki aut mein …!
Jo aql ke maare the apne bhi na kaam aaye,
deewaanon ne duniya ki taqdeer badal daali …!