Uthaaye kuch varq lalaa ne kuch nargis ne kuch gul ne
Chaman mein har taraf bikhrii hui hai daastaa'n meri...
Printable View
Uthaaye kuch varq lalaa ne kuch nargis ne kuch gul ne
Chaman mein har taraf bikhrii hui hai daastaa'n meri...
Yaad to hongi wo baatein tujhe ab bhi lekin
Shelf mein rakhi hui band’h kitaabo’n ki tarah
Acha hay dil ke pas rahay paasban-e-aqal
Lekin kabhii kabhii isse tanha bhi chhorh dey...
Ilaahi phir maza kya hai yahaan dunya mein rehney ka
Hayaat-e-jaavidaa'n meri na marg-e-naagahaa'n meri...
Yeh kahan ki dosti hai k banay hain dost nasehh
Koi charasaaz hota koi ghamgusaar hota...
Bay wajha to naheen hain chamman ki tabbahiyan
kuch baghban hain barqoo sharrer say millay hu-ay
Aaj bhi hai terii doorii hee uddasi kaa sabbab
yeh al-lag baat kay pehli si naheen kuch kam hai
Najanay kaun hai jis ki talash mai Nasir
Har aik sans mera ab safar mai rehta hai...
Yeh humhe hain k tera dard chhupa ker dil mein
Kaam dunya k ba-dastuur kiay jatay hain.
Har Samandar ka aik sahil hai
Hijar ki raat ka kinaara nahi
Woh nahi milta aik baar hamen
Aor yeh zindagi doobara nahi