Ek terje-tagaful hai so unko mubarak
Ek arje tamanna hai so hum kerte rahenge.
Printable View
Ek terje-tagaful hai so unko mubarak
Ek arje tamanna hai so hum kerte rahenge.
Jubaan hilaao to ho jaaye, faisla dil ka
Ab aa chuka hai labon per muamla dil ka
Labon per muskarahat he dekhi O zaalim
Nahin dekhi abhi tune hamari aankh ke aansoo
Ishq sunte the jise hum wo yahii hai shayad
Khud - bakhud dil main ek shaksh samaya jaata.
Baat Chali Tu Neel Gagan se taray Toray logon ne
Waqt para Tu Jan Chhura Li Jan se Piyaray Logon Ne...
Tumahari yaad ke jab jakhm bharne lagte hain
Kisi bahaane tumeh yaad kerne lagte hain.
"Faqat batain andhero'n ki mehaz qissay Ujalo'n kay
Chirag e Arzu lay kar na tum niklay na hum niklay"
Hamari saadgi thi, ilitfaate naaz per merna
Tera aana na tha zalim, mager tamheed jaane ki
"Guma'n tum ko ' kay Rasta katt raha hay
Yaqee'n mujh ko ' kay Manzil kho rahay ho"
Sarakti jaaye hai, rukh se naqaab ahista-ahista
Nikalta aarahaa hai aaftab aahista-aahista
Zindgi kab hai saazgaar hamain
Fir bhi kambakht se hai pyar hamain
"Libaas bay shikan...tera zaahir bhi khoob hay Aadmi
waqt milay Gar tou ' Rooh tak parri salwatain bhi daikh"
Kaisa nazaara, kiska ishara, kahan ki baat
Sab kuch hai aur kuch bhi nahin neechi nigah main
Gum diya, ranj diya, daag diya zaher diya
Khoob beemar-e-mohabbat ki dawaa tumne ki.
Nahin milte na miliye khair koii mr na jaayega
Khuda ka shukra hai pale mohabbat aapne kam ki.
mohabbat baqi rehny par yaqeen kitna tha dono ko
yahan har cheez fani hai na tum smjhy na dil smjha
Fir kahin chupti hai jab jaahir mohabbat ho chuki
Hum abhi ruswa ho chuke unki bahi shohrat ho chuki.
E "Zauk" main to baith gaya dil ko thaam ker
Is naaz se khare the wo rakh ker kamer pe haath
"Nigah e Aib geeri se jo dekha ehl e Aalam ko
koi kafir ' koi fasiq ' koi zandiq e Akbar tha
magar jab hogaya dil ehtsab e nafs par maayal
hua sabit k har farzand e Adam mujh se behtar tha"
"Jameene Pak ab naapakiyon ko dho nahin sakti
Watan ki shamme aazadi kabhi kam ho nahin sakti.
"shakeeb apnay Ta'aruf k liye yeh baat kaafi hay
hum uss say bach k chaltay hain jo rasta Aam hojaye"
"Sitarey dekhta hu, Zaichey banata houn,
Main weham bechta houn, Waswasey banata houn
Musafaron ka mere ghar hajoom rehta hai,
Main pyas baant'ta houn, Aabley banata houn"
Daastaan Khatam Hone Waali Hai
Tum Meri Aakhri Mohobbat Ho
"tum pay hi nahi moqoof' aj kal tou duniya mai
zeest kay b mazhab hain' mout ki bhi zatain hain"
Ajab apna haal hota, jo visaale yaar hota
Kabhi jaan sadke hoti, kaabhi dil nisar hota.
"tu hans raha hay mujh par mera haal dekh kar
mai phir bhi shareek teray qehqaho'n mai hu"
Bas yehi mera tujhse nazren churane ka sabab
Tuu mere qaabil to hai, per main tere qaabil nahin.
Aa dekh mujh sy roothny waly tery baghair
Din bhi guzar gya , Shab e gham bhi guzar gai
"duniya mai Qateel Uss sa munafiq nahi koi
jo zulm tou sehta hay ' bagawat nahi karta"
Kis derja dilshikan the muhabbat ke haadse
Hum zindgi main fir koii armaan na ker sake
Us ki yaad main aanson ka samander bana liya.
tanhaiyon k des main apna ghar bana liya.
suna hai log pooja kerte hain pathron ki.
is liye apne dil ko pathar bana liya.
yahi na tumhe hum se bicharne ki jaldi hai..kbi milna tumhare masle ka b hal nikalen ge..
main apni rooh ki poshaak bhi usay pehna doonwo meri zaat mein rehne ka faisla to kary
Betiyan Sab Ke Muqaddar Main Kahan Hoti Hain ...Ghar Khuda Ko Jo Pasand Aaye Wahan Hoti Hain ..
Hum se muhabbton ki numayish na ho sakihaan itna jante hain tumhe chatey hain hum.
Nasheman pe Nasheman ki tameer karta jaa,
Bijli girte girte apne aap pareshan hojae.....
Sukoon Milta Hai Do Lafz Kagaz Pe Utaar Kar,
Kah Bhi Deta Hun Aur Aawaj Bhi Nahi Hoti.
Sitam Toh Yeh Hai Ke Zalim Sukhan-Shanaas Nahin,
Woh Ek Shakhs Jo Shayar Banaa Gaya Mujhko.
Kisi Ke Zakhm To Kisi Ke Gham Ka ilaaj,
Logon Ne Baant Rakha Hai Mujhe Davaa Ki Tarah.
Woh Pehle Sa Kahin Mujhko Koi Manjar Nahi Lagta,
Yehan Logon Ko Dekho Ab Khuda Ka Darr Nahi Lagta.