Qaasid payam e shouq ko
itna na ker taveel
kehna faqat ye un se k
Aankhen taras gayee'n
Printable View
Qaasid payam e shouq ko
itna na ker taveel
kehna faqat ye un se k
Aankhen taras gayee'n
nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
wahi hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad
mere haal pe hairat kaisii dard ke tanhaa mausam mein
patthar bhii ro parrte hein insaan to phir insaan huaa
Mein Yaad Kar Rha Tha mUQadar Key HaDsay
Meri HathailiyOun Pey Lakeerien Simat Gaiyen
Yeh aur baat k izhaar na hosaka hum se
Nahin hai tum se muhabbat ye kon kehta hai ..
مجھے تعمیر کرتا جا رہا ہے جزب و مستی میں
میں جب تعمیر ہو جاؤں گا پھر مسمار کر دے گا
Kabi ye dua k usay milain jahan ki khushian
Kabi ye khoof k wo khush mere beghair to nahi !!
Ek baar bhulana chaha tha sau baar woh humko yaad ayaa
Ek bhoolne wale ko humne sau baar bhula kar dekh liya
Is dil ki tamannayen kya hain ab tak to hume malum nahi
Sau baar hasa kar dekh liya sau baar rula kar dekh liya
Janoo ka zabata ghum ho gaya hai
mera sher-e- wafa ghum ho gaya hai
main jis per ajj tak mehwey safar thi
tera wo naksh -e- paa ghum ho gaya hai
Noor se hogai faza mamoor
lab py khair ul bashar ka naam agia
hy bas ik naam rahmat e alam
mushkalon main jo maery kaam agia