Main uski qaid se azaad kahan hoon Mohsin
Banaa k rakhta hai sochon main yarghamal mujhe..
Printable View
Main uski qaid se azaad kahan hoon Mohsin
Banaa k rakhta hai sochon main yarghamal mujhe..
Khafaa agarchaay voh hamesha huay magar abb kay
voh barhamee hai kay hum say inhain gillay bhi nahi
Fitrat kisi k zarf ko itna na aazma
Har shakhs apni had mien bada lajawaab ha
Dil ne maani naheen meri warna
Main tujhe bhoolne k haq main tha
Tujh se ab aur muhabbat naheen ki jaa sakti
Khud ko itni bhi azeeyat naheen di jaa sakti
Main wahan hun jahan jahan tum ho
Tum karo gey kahan kahan se guraiz
Daastan khatam honay wali hai
Tum meri aakhri mohabbat ho
Chehray sajay sajay hain tou Dil hain Bujhe Bujhe
Har shakhs main tazaad hai din raat ki tarhaa.
Sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, humain intezar qubool hai
Wo kabhi milain wo kaheen milain wo kabhi sahi wo kaheen sahi
Kuch haadison se gir gaye Mohsin zameen par
Hum rashk e aasman thay abhi kal ki baat hai...!!!