Us daur se guzri hai daastaan-e-mohabbat humari,
lamho ne ki khata aur sadiyon ne saza paai
Printable View
Us daur se guzri hai daastaan-e-mohabbat humari,
lamho ne ki khata aur sadiyon ne saza paai
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai
Par Nahin, Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai
Kuch Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Rizwan Samjha
Mujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha
Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon Ko
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko!
Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi Nahin
Rah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin
Tarbiat Aam Tau Hai, Jauhar-e-Qabil Hi Nahin
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin
Koi Qabil Ho Tau Hum Shan-e-Kai Dete Hain
Dhoondne Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain!
Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha
Kabhi Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha
Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin, Tum Bhi Nahin
Jazb-e-Baham Jo Nahin, Mehfil-e-Anjum Bhi Nahin
Harm-e-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Aik,
Kuch Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Aik!
Firqa Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaatain Hain
Kya Zamane Mein Panapne Ki Yehi Baatain Hain?
Qalb Mein Souz Nahin, Rooh Mein Ehsas Nahin
Kuch Bhi Paigham-e-Muhammad (ﷺ) Ka Tumhain Paas Nahin