Daastan khatam honay wali hai
Tum meri aakhri mohabbat ho
Printable View
Daastan khatam honay wali hai
Tum meri aakhri mohabbat ho
Main wahan hun jahan jahan tum ho
Tum karo gey kahan kahan se guraiz
Tujh se ab aur muhabbat naheen ki jaa sakti
Khud ko itni bhi azeeyat naheen di jaa sakti
Dil ne maani naheen meri warna
Main tujhe bhoolne k haq main tha
Fitrat kisi k zarf ko itna na aazma
Har shakhs apni had mien bada lajawaab hay
Suna hai din ko ussay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugnu thehar k dekhte hain
Na sawal sood_o_ziyan ka ker, hay wo kia jo mujh ko milla nahi
Meray humsafar tu yaqeen ker, mujhay tujh say koi gilla nahi
Agar mai lautna chaahoon to kia mai laut sakti hoon
Wo dunia saath jo mere chalee thee ab kahan hogee
Apne apane hausale apanii talab kii baat hai
Chun liyaa hamne unhe.n saaraa jahaa.N rahane diyaa
ab kabhi yaad bhi aaon to sada mat dena
ik be naam sa rishta tha jo ab toot gia
Ab uss ko kho raha hoon baray Ishtiyaaq se
Wo jiss ko dhoondnay main zamana laga mujhe!!
Ab kar k faraamosh tou Naa Shaad karo gay
Par hum jo na hon gay tou bohat yaad karo gay
Khafaa agarchaay voh hamesha huay magar abb kay
voh barhamee hai kay hum say inhain gillay bhi nahi
Kisi kirdaar ko marna paray ga
Barri mushkil kahani ho rahi hai
Ab tak dil e khush feham ko hain tujh se umeedain
Ye aakhri shamaayain bhi bhujanay k liye aa!!
Tumhara kya bigaara tha jo tum ne toar daala hai
Yeh tukray main nahin loon ga, mujhe to dil bana kar do
Koi to aisa milay, rubaroo jis k
Saray raaz kholun, aur phoot phoot k ro dun
Kin kin rafaaqton k diye waastay magar
Us ko naa yaad aayin, purani mohabbatain
Man ki baat man main rahay tou man ko laagay rog
Man kholain tou mushkil kar dain jeewan apna log
"daikh matt chairr chalak jaye na paimana e sabbar
hum zamano kay rawiyo'n se bharray bethay hain"
Agerche jaan pe ban-ban gayi muohabbat main
Kisi ke mooh pe na rakhaa muaamla dil ka.
Ye hameen the jinke libaas per ser-e-ru siyahi likhi gayi
Yehi daag the jo sajaa ke hum -ser-e-bazm-e-yaar chale gaye.
Wo khwaab mai bhii aaye to mooh ko chupa liya
Dekho, jahan main perdanashin aur bhi to hain.
Irza-e-derdo-gum teri furkat mai mil gayi
Milni thi jo saza, wo mohabbat mai mil gayi
"Na janay koun hain yeh loug jo k sadiyo'n say
Pass e Naqaab ......mere sath sath chaltay hain"
Husn paaband-e-rah-O-rasm-e-wafa kyon na raha
Haii pahla-saa mohabbat main maja kyon na raha.
" Kursi hay ' tumhara yeh Janaza tou nahi hay
Kuch karr nahi saktay tou utar kio nahi jatay "
Maut se koii umeed kaise karoon
Zindgi bhi khafaa hai tumahri tareh.
ye tajurba bi hoa hai buje charagon se
ke hr andera hame dekhna sikhata hai
Rasm-e-taazeem na rusva ho jaye....Itna bhi na jhuko ke sajda ho jaye….
I s aik aas per mur ker kabhi nahee dekha
Ke jis ne chhorh diya hai wahi pukaregaa
"hazaro'n deegriya'n lay kar ILm pe dastaras paa kar
chalaktay lafz ankho'n se na parh pao ' tou an'parh ho"
"meri tasveer main rang aur kisi ka tou nahi
ghair lain mujhko sab ankhain 'mai tamasha tou nahi
Zindagi tujh say harr ek saans pe samjhota karu
shouq jeenay ka hay mujhko' magar itna tou nahi"
Maine chaaha tha ki andohe wafa se chutoon
Wo sitamger mere merne pe bhi raaji na hua.
Daher main nakshe wafa vajeh tasalli na hua.
Pahli si ab nigaha main duniya nahin rahi
Ab tu bhi jaa ki teri tamanna nahin rahi.
Apni Ankhon ka kiya karon Yaroon
Inko Hijrat Ke Khawab Ate Hain
Tera jamaal teri mohabbat, teri nazer
Lekin kasurvaar hua jaa rahaa hoon main.
"saleeqa Zabt ka mujh ko bhi Ehl e Dard sikhla dou
Labo'n pay ungliya'n rakhu ' tou ankhain bain karti hain
Unki gali main jis dam mera janajaa gaya
Hasrat se dekhte the pardaa utha-utha ker
Honsla ye hain ki hum dhoond nikalenge unhen
Aur maloom hamain namon-nishan kuch bhi nahin