ik bas tuu hi nahi mujhase Khafaa ho baiThaa
main ne jo sang taraashaa vo Khuda ho baitha
Printable View
ik bas tuu hi nahi mujhase Khafaa ho baiThaa
main ne jo sang taraashaa vo Khuda ho baitha
ajal ke hath main aa raha hai parwana
najane aaj kee fehrist main raqam kia hai
Aik baar kaha tha Uss ne Mujh seY k mein Hashta Achha Lagta Hun
Iss Baat ko pehro Yaad mein kar k Abb pal Pal rouTa Rehta hun
Na Jane Kon Hai Nasir Jis ki Talash Main
Her Ik Saans Mera Ab Safar Main Rehta Ha
Ye ridaa-a-jaan tujhay sonmp doon ke na dhoop tujh ko kari lagay
Tujhay dukh na den mere jeetay gee sar-a-dasht gham ki tamaazten
Tum soch bhi nahin sakte,
main kitna sochta hun tumhen …!
Riwaayaton ki qataaren tod kar badho warna,
jo tum se aage hain woh raasta nahin denge …!
Uss ne har cheez badal di apni,
jism ka ghaao puraana rakha …!!
In tez hawaaon mein kahan jaaoge mohsin ?
raaton ko toh paagal bhi nikalte nahin ghar se …!
Maine bhi bachpan mein ek naqsha banaaya tha,
magar zindagi kitni alag nikli meri tasweer se …!
Apne darwaaze par khud hi dastaken deta hai woh,
ajnabi lehje mein phir poochhta hai “kaun hai” …??
Ajeeb sanjeedgi hai shehar bhar mein,
ki paagal bhi ab koi hansta nahin …!
Mujhe tumhari nigaahon pe aitmaad nahin,
mere qareeb na aao bada andhera hai …!
Pasand aaya humen bahut peshaa,
khud hi apne gharon ko dhaane ka …!
Dost masroof ho gaye itne,
hum ne dushman se raaz keh daala …!
Tamaam jism ko aankhen bana ke raah tako,
tamaam khel mohabbat mein intezaar ka hai …!
Uss ki aankhen jo kabhi shair sunaane lag jaayen,
jitni ghazlein hain zamane mein, thikaane lag jaayen …!
Ab mere paas teri nishaani nahin koi,
ek khat bacha hua tha woh dariya ko de diya …!
Apney Aap Sey Aankh Churaaye Phirta hOn maiN
Aaiyenay mieN Kis Ka Chehra Daikh Liya hAi
Ab Bhi Sapney bOye tO Emaan hAi Us Ka
Us Ney iN AankhOn mieN Sehra Daikh Liya hAi
@Ubaid; yaha two lines shayari jitni chahe post par sakte hai ek sath
kyuN uski taraf dekh k paaoN nahiiN uThte
wo shaKhS haseeN itna ziyaadah bhi nahiiN hai
kis moR pe le aaya hameN hijr-e-musalsal
taa had- e-nigaah vasl ka vaadah bhi nahiiN hai
shaayad abhii hai raakh me.n ko_ii sharaar bhii
kyo.n varnaa intazaar bhii hai iztiraar bhii
ye haadasaat jo hai.n iztaraab kaa paiGaam
ye haadasaat hii aaye.nge saazagaar mujhe
Ab Wo Ehsas Nahi K Kuch Likh Paun Main
K Itni Bedardi Se Tori Hain Kisi Ne Umeedain Meri..
Ye Mere Charon Taraf Kis Liye Ujala Hai
Tera Khayal Hai Ya Din Nikalne Wala Hai..
Main uski qaid se azaad kahan hoon Mohsin
Banaa k rakhta hai sochon main yarghamal mujhe...
Sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, humain intezar qubool hai
Wo kabhi milain wo kaheen milain wo kabhi sahi wo kaheen sahi
ιк "кυη" ρε qααүιм ∂υηιүα
ιк "кυη" ρε ғαηαα нσ נαүε gι
Kuch haadison se gir gaye Mohsin zameen par
Hum rashk e aasman thay abhi kal ki baat hai...!!!
Us shakhs ko to bicharne ka saliqa b nahi.
Jate hue khud ko mere pas chor gaya..
Maut to uski hai jiska kare duniya afsos..
Warna to sabhi aaye hai duniya me marne k liye
Mizaaj acha hay aaj hamara!!
Sitam karna hay to laut aaoo!!
Naheen k tujh se bichar k dunya ujar gayi ho
Yehi k Dil bujh gayaa zara sa malaal guzraa
Chehray sajay sajay hain tou Dil hain Bujhe Bujhe
Har shakhs main tazaad hai din raat ki tarhaa...
وہی جو کھینچ کے لائے تھے کشتیوں سے ہمیں
بھنور کے بیچ وہ ناؤ ہیں اب ڈبونے لگے
Urr gayi yoon wafa zamanay se
Kabhi goya kisi main thi hi nahi