Baahar Ke Sard Mausam Par Toh Tumhein Aitraaz Ho Chala Hai,
Rago Mein Bahte Sard Khoon Ka Kabhi Tum Zikr Nahi Karte.
Printable View
Baahar Ke Sard Mausam Par Toh Tumhein Aitraaz Ho Chala Hai,
Rago Mein Bahte Sard Khoon Ka Kabhi Tum Zikr Nahi Karte.
Yeh Perh Yeh Patte Yeh Shakhein Pareshan Ho Jayein,
Agar Parinde Bhi Hindu Aur Musalmaan Ho Jayein.
Apni Manzil Pe Pahuchna Bhi Khade Rehna Bhi,
Kitna Mushkil Hai Bade HoKe Bade Rahna Bhi
Bekasoor Koi Nahi Iss Zamaane Mein,
Bas Sabke Gunaah Ujagar Nahi Hote.
Jalzala Sa Hai Dil Ki Galiyon Mein,
Shayad Tere Ehsaas Gujre Hain Idhar Se.
Meri Shayari Ka Asar Unpe Ho Bhi Toh Kaise Ho?
Ki Main Ehsaas Likhta Hun Woh Alfaz Parhte Hain.
Humari Shayari Parh Kar Bas Itna Hi Bole Woh,
Kalam Chheen Lo Inse Lafz Dil Cheer Dete Hai.
Koi Tabeez Aisa Do Ki Main Chalaak Ho Jaun,
Bahut Nuksaan Deti Hai Mujhe Yeh Saadgi Meri
Waqif Tha Meri Khana-Kharabi Se Woh Shakhs,
Jo Mujhse Mere Ghar Ka Pataa Puchh Raha Tha
Hawa Se Kah Do Khud Ko Aazma Ke Dikhaye,
Bahut Chirag Bujhati Hai Ek Jala Ke Dikhaye.