Auron pe ho rahii hain hazaaron nawazeshien...
Afsoos ke hum yaad ke bhii qaabil nahii rahe.!!
Printable View
Auron pe ho rahii hain hazaaron nawazeshien...
Afsoos ke hum yaad ke bhii qaabil nahii rahe.!!
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Teri Baat thi teri zaat thi meray paas chaandni raat thi....
issi Lutf e khana e kharab ne sir-e-shaam mujh ko sulaa dia .
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hai
Raah takte howe jab thak gai aankhein meri..
Dhundhne unko meri aankh se aansou nikle..!
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
hum jo log hain ehsaas me jalty huay log!!!
hum zameeen daad na hoty to sitaray hoty....
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
tu ne andaaz e aseeri dekha hai andaaz e wafa nahi ghalib...
kuch panchee pinjara khol bhi do to jaya nahi krty
inhen zidagi ki naveed de jinhen mardala hai hijr ne
dil e reza reza liy huy jo pade hain chashm e baraah main
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Wo tujh ko bhooolain hain to tujh pe bhi lazim hai meer
khaak daal...aag laga...naam na ley ...yaad na ker!!!!
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
apne ♥ ki gehraiyo mai uska name to likh liya.
per yeh na socha k taqdeer to khuda likhta hai..
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain