Uski yaadein aansu ban kr u palkoun pe chamakti hain
Nadya pe jaisey raat ko, jugnoo se naachtay hain !!!
Printable View
Uski yaadein aansu ban kr u palkoun pe chamakti hain
Nadya pe jaisey raat ko, jugnoo se naachtay hain !!!
کوئی تعویذ ہو ردِبلا کا
محبت میرے پیچھے پڑ گئی ہے
اس شخص نے یوں کون سا میدان نہیں مارا
بس عشق کی بازی میں ہوئی مات دوستو
محبت کی بازی وہ بازی ہے فراز
کہ خود ہار جانے کو جی چاہتا ہے
taiz barish main kabhi sard hawao main raha
1 tera ziker tha jo meri sadao main raha
kitne logon sy mery gehry marasim the mager
tera chehra hi faqt meri duaon main raha
hawa jb zard paton ko juda shakhon sy krti hai
hamen tm sy becher jana bohat hi yaad aata hai
meri talab ki had ha na teri ataa ki had ha
mujh ko tere karam se nidaamat yahi to ha !!!
Mujhy har kayfiyat main kion na samjhy
Woh mairay sab hawaalay janta hai
Main us ki dastaras main hun,magar vo
Mujhay mairi razaa say mangta hai
Kisi kay dheyan main dooba howa dil
Bahanay say mujhay bhi taalta hai!!!!
muddaton ki rafakat humain badal na saki
sawal us ka wohi tha mera jawab wohi
banaa diya ha zammane ne dil ko pathar ka
sataaye koi b mujh ko Rulaa nahi sakta
isii Khayaal se raaten ujar gaiin apanii
koii hamaarii bhii haalat ko dekhataa hogaa
tumhaare dil mein kahaan merii yaad kaa paratau
vo ek halkaa saa baadal thaa chhaT gayaa hogaa
Yeh Na Ho Kahein Tujh Ko La'Jawab Kar DooN MaiN
kuch Sawal Rehne Dy , kuch Jawab Rehne Dey
Ye ksi nay kaha tum kuch karoo batain na banaoo Insha Ji
Ye shehar tumhara apna hai isay choor na jaoo Insha Jii
Woh jo geet tum nay suna nahi meri umr bhar ka riaz tha
Mere dard ki thi woh dastaan jisay tum hansi main ura gaye
Yeh chiraagh be-nazar hai yeh sitara be-zubaan hai
Abhi tujh say milta julta koii doosra kahaan hai
Yaadon ka aek shor tha raston mein har taraf
hum aek pal bhi dasht mein tanha nahi huwey
Yaad Aata Hai Roz O Shab Koi
Ham Say Routha Tha Be Sabab Koi
mukhtssir yeh k do lfzoon se bnn jaata hay dil
hay wsseeh itna k is main do jhaan kay raaz hain
Hum dohri aziat k girftaar musafir
Paaon bhi hain shal, shoq-e-safar bhi nahi jaata
kisi k paas bhi chehra nhi phir bhi
hr aik shkz k haathon min aayna kyun hay..
بارش کی طرح تجھ پہ برستی رہیں خوشیاں
ہر بوند تیرے دل سے ہر اک غم کو مٹا دے
Yeh mohabbat bhi kiya roug hay "faraz"
Jis ko bhouley wo sada yaad aya!!!!
Na mere zakham khile na tera rang-e-Hina
Mosam aye hi nahi is bar baharou wale
yeh kiya kay tum nay jafa say haath khainch liya
meri wafaaoo ka kuch to sila diya hota...
Apne akelaypan ka mein kis se gila karoon
Jis ko bhi murr ke dekha woh tanhaeyoon mein hai
Adab ki baat hey warna Munir socho to
jo shakhs sun sakta hey wo bol bhi to sakta hey
karni nahiin ati mujhe Paish qadmi
woh hain key haath barhatey nahiin
ye kitaab-e-dil ki hein aayatein,mein batayoon kia jo hein nisbateiN
mirey sajda haye dawaam ko,teray naqsh haaye khiraam se
Ab mere zikr pe mauzuu hi badal deta hai
Woh jo har baat pay deta tha hawaale mere
ye hadsa hai tere mehfil me chup raha
halan k vo fiza bhi bari sazgaar thi..!!
Yahi nahin ke hamein tor gayaa hai koii
'Mohsin' usay bhi khud ko bohat baar jorna hoga
Aa ke le ja meri aankh ka pani mujh se
Kyo'n hasad krti ha daryao'n ki rawani mujh se
Gosht nakhun se alag kar ke dikhaya main ne
Uss ne pochay thay judai ke ma'ani mujh se...!
aye karri chup k dar-o-baam sajany walay
muntizar koi sar-e-koh-e-nida hai kab sey..!!
iK KASAK SI HAI DIL MAI KY MALOOM TU HU
MUJH SY BICHAD KY WOH KISS HAL MAI HAI ...
seyahi taq ki batla rahi hey
ke is ghar mein ujala reh chuka hey..!!
yeh nayi bata nahiiin k woh bhool gaya humko
yeh nayi baat hai humne yaad rakha usey
Rahiyay ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho
hum-sukhan koi na ho hum zuban koi na ho
Woh Silsalay, Woh Shok, Woh Nisbat Nahi Rahi
Ab Zindagi Main Hijer Ki Wehshat Nahi Rahi
Toota Hai Jab se Uski Masihai Ka Talism
Dil Ko Kissi Masiha Ki Haajat Nahi Rahi
Ye Ehad Wo Hai Ke Meri Wafa ke Qisso main
Teri jafa ki hikayat bhi bayan ho gi
Yaa Bhi Hay Tamana K Usay Dil Say Bhula Dain
Is Dil Kau Magar Us Ki Zarorat Bhi Bahat Hay