I s aik aas per mur ker kabhi nahee dekha
Ke jis ne chhorh diya hai wahi pukaregaa
Printable View
I s aik aas per mur ker kabhi nahee dekha
Ke jis ne chhorh diya hai wahi pukaregaa
"hazaro'n deegriya'n lay kar ILm pe dastaras paa kar
chalaktay lafz ankho'n se na parh pao ' tou an'parh ho"
"meri tasveer main rang aur kisi ka tou nahi
ghair lain mujhko sab ankhain 'mai tamasha tou nahi
Zindagi tujh say harr ek saans pe samjhota karu
shouq jeenay ka hay mujhko' magar itna tou nahi"
Maine chaaha tha ki andohe wafa se chutoon
Wo sitamger mere merne pe bhi raaji na hua.
Daher main nakshe wafa vajeh tasalli na hua.
Pahli si ab nigaha main duniya nahin rahi
Ab tu bhi jaa ki teri tamanna nahin rahi.
Apni Ankhon ka kiya karon Yaroon
Inko Hijrat Ke Khawab Ate Hain
Tera jamaal teri mohabbat, teri nazer
Lekin kasurvaar hua jaa rahaa hoon main.
"saleeqa Zabt ka mujh ko bhi Ehl e Dard sikhla dou
Labo'n pay ungliya'n rakhu ' tou ankhain bain karti hain
Unki gali main jis dam mera janajaa gaya
Hasrat se dekhte the pardaa utha-utha ker
Honsla ye hain ki hum dhoond nikalenge unhen
Aur maloom hamain namon-nishan kuch bhi nahin