Aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
Aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa
Printable View
Aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
Aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa
Uter ke dil main lahoo zeher ker gaya akhir
Woh saanp jisko meri aasti'n main palna tha
Agar tum se koi pooche ke meri zindagi kya hai
Hatheli par zara si khaak rakhna aur urha dena
ye kia usi ko subha-e-musafat ne chor ker dala
Woh aaftab jise dopeher main dhalna tha
Main laghzishon se ate raaston pe chal nikla
Tujhe ganwa ke mujhe phir kahan sanmbhalna tha??????
yahi hai zindagi kuchh Khak chand ummiiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
ay aashiq na puuch zindagi kyaa hai?
zindagi to taKhallus hai muhabbat kaa
youn hi, nahee mashoor-e-zamana maira QAATIL
is shaks ko is fun mein maharaat bhi bohaat thi
Nadamatain Usay Mairi Kahan Gawara Hain
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay
wo koi aur na they chand Khushk patte they
shajar se toot ke jo fasl-e-gul per roye they
Badla jo Waqt Gehri Rafaqt b badal gayi
Suraj Dhala to Saye ki Surat b Badal gayi
Ek Muddat tak main Os ki Zarorat Bana raha
Phir youn hua k Os ki Zarorat Badal gayi
Yeh zaroori nahin har shakhs masiha hi ho,
Pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo...
Shahar-e-ehsaas mein patharaav bahut hain,
Dil ko sheeshe ke jharokhon mein sajaaya na karo.
Iss sher mein jeene ki hai ab aik he surat
Aehsaas k mansoor ko sooli pe charha do.
Yoon sar_e_bazm koi naghma_e_javed sunna
Kay tere baad bhi mehfil mein teri baat rahe.
Ab shahar mein uss ka badal hi nahin koe vaisa jaan-e ghazal hi nahin
Aivan-e ghazal mein lafzoun ke guldaan sajaoon kis ke liye
Na ab woh yadoon ka charta dariya na fursatoon ki udaas barkha
Yoon hi zara si kasak ha dil main jo zakham ghera tha bhar gaya woh
Yaad aata hai sakoot-e-shab mei'n woh aksar mujhay
Khainch laata hai meray andar say woh baahir mujhay
Kuch khabar lay aao uss ki Farwari ki barisho
Abb bahot soona lagay hai uss kay bina ye ghar mujhay
yeh za-am tha k kon-o-makaan dastaras main hai
aankhain khuli to zaat ki manzil bhi door thi.....
na rang-o- roop ki tarah na khad-o-kaal ki tarah
woh mery man main aa basa hay kisi maalal ki tarah
main raastha hon or tumhari yaad qaafla hay jo
guzar rahi hay mujh say mery maah-o-saal ki tarah
ye ajnabi se manzilein or ruftgaa'n ki yaad
tanhaiyon ka qeher hey or hum hein doston
Yeh Aaj Aye Hain Kis Ajnabi Sey Dais Main Hum
Taras Gye Hey Nazr-e-Chashm Ashna Key Liyey
Yeh Faasley, Yeh Sarhaden
Ik Pal Mein Mitaane Ki Khwahishen
Reh-Reh Ke Shor Machaati Hain
Jab Tera Khayaal Ata Hai
Yeh Duniya Zalim Duniya Hey Yeh Baat Bohut Phailaye Gi
Tum Sab K Samney Chup Rehna Or Chupkey Chupkey Ro Lena
woh mujhey piyaar to karta hai magar youn jaisey
ghar ka darwaza kisi raat khula reh jaaey
Ruka hai jab se negahon mein hijr ka mosam
Ye maah-o-saal mere be khabar se guzre hain
Jinhen sanwar gai teri qurbaton ki mehek
Vo chand lamhe bare mukhtasir se guzre hain
Naqad-e-Jaan Sarf Hova Kulfat-e-Hastii Main *Faraz*
Ab Jo Zinda Hain Too Kuch Saans Udharay Lay Kar
ek aansoo bhee asar jab na kare ai ''tishna''
faayadaa rone se ai deed-e-tar kuchh bhee naheen
Yeh JO Sargishta Sey Phirtey Hain Kitabon Waley
In Sey Mat Mil Keh Inhain Rog Hain KHuwaon Waley
Ab Mah-o-Saal Ki Mohlat Nahi MIlney Wali
Aa Chukey Ab TU Shab-o-Roz Azaabon Waley
ye dhundalakaa saa jo hai us ko Ganiimat jaano
dekhanaa phir ko_ii suurat na sujhaa_ii degii
Ye raah akeli kathti hai yaan saath na koi yaar chale
Us paar na jaane kya paain es paar to sab kuch haar chale
Ye baazi ishq ki baazi hai jo chahay laga do dar kaisa
gar jeet gey tu kia kehna,haaray bhi tu baazi maat nahi
Yahan Ke Log Apnay Khawab Apnay Dil Main Rakhty Hain
Tere Shaher Ke Yeah Ik Ada Achi Lagi Hum Ko
waqt k ek kankar nay jis ko akson main taqseem kia
aab-e-rawan main kaisay amjad ab wo chehra joroon ga
Apnay mann main doob kar paa jaa suraagh-e zindagi...
Tu mera nahin banta na bun, apna to bun
Waqt-E-Rukhsat Kahin Taare Kahin Jugnoo Aaye,
Haar Pehnaane Mujhe Phool Se Baazoo Aaye,
Bas Gayi Hai Mere Ehsaas Mein Ye Kaisi Mehek,
Koi Khushbu Main Lagaun Teri Khushboo Aaye,
Wo tu milta hy mujhse mehdood se lamhon me Faraz
Yeh DIL hy kitni fursat se sochta hy usay...
Abb tera zikar bhi shayad hi ghazal main aaye
Aur se aur hoye dard ke unwaan janaan
Nazro'n main Apni Gunah Gaar Na Hota Kiun-kar ~
Dil he Dushman hay Mukhalif kay Gawahoo'n ke Tarah
Ae haasile khulus bata kya jawaab du ??
ye duniya puchti hai ke mein kyun udaas hun??
NikaaL de Faraz diL se khayal uska..
Yadein kisi ki tqdeerein badLa nahin kartein..!!!!