ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne
k ab hayaat pe teraa bhii iKhtiyaar nahiin
Printable View
ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne
k ab hayaat pe teraa bhii iKhtiyaar nahiin
ye aur baat terey roobaroo naheen guzra
main jiss aazab se guzra hoon tu naheen guzra
Na pooch,kioun meri aankhoon mein aa gaye aansoo
Jo tere dil mein hai,uss baat per nahi aaye.
یہ نہیں کہ سارے جہان میں مجھے ھمسفر ہی نہیں ملا
سبھی اعتبار کے ساتھ تھے کوئی معتبر ہی نہیں ملا
یوں بھی کم آمیز تھا محسن وہ اس شہر کےلوگوں میں
لیکن میرے سامنے آ کر اور بھی کچھ انجان ھوا
نجانے زندگی کیسے گذر گئی اے دوست
کہیں ٹھہر کے ترا انتظار بھی نہ کیا
ہ تجھ کو جاگتے رھنے کا شوق کب سے ھوا
مجھے تو خیر ترا انتظار کرنا ھے
وہ مسکرا کے وسوسوں میں ڈال گیا
خیال تھا کہ اسے شرمسار کرنا ھے
"Mere sehar se bahir na nikal paoo gee.............."
"Ye soch loo tum mujhy jan'ny se pehley....."
Yoon Akeley Main Usey Ehd-e-Wafa Yaad Aye
Jaisey Bandey Ko Museebat Main KHuda Yaad Aye
Jaisey Bhatkey Huwey Panchi Ko Nasheman Apna
Jaisey Apnon Key Bicherney Pey Duwa Yaad Aye
Najanay kaun hai jis ki talaash main
Her aik saans mera safar mein rehti hai
youn hi mosam ki ada daikh k yaad aaya
kis qadar jald badal jatey hain insaan janan
وقت نے ذہن میں دھندلا دیئے تیرے خدوخال
یوں تو میں ٹوٹتے تاروں کا دھواں تک دیکھوں
Ye taqdeer ki heiN chaaleiN ke badli hui hey baazi
jo mera chaara-gar tha meiN usi ka hooN nishaana
Ay kaash mujh mein quwwat`e purwaaz ho tu mein
urta howa barhoon teri jaaneb sooway harum
Ye Saaneha Bhi Muhabbat Main Baar-ha Guzra
Kay Us Nay Haal Bhi Poochha To Aankh Bher Aai
Phir Us Ki Yaad Main Dil Beqarar Hay NASIR
Bicharr Kay Jis Say Hoi Sheher Sheher Rusvaai
Ruch Bass Gaya Hai Zehen Main Nasir Kisi Ka Roop
Ab Kiya Karenge Hum Koi Shahkaar Dekh Kar..
Rootha thaa jis garoor se woh b to yaad ker
Aankhoun main teri aaj yeh aansoo fazool hain
Yaad Karney Key Siwa Ab Kar Bhi Kya Saktey Hain
Bhool Jaaney Mein Tujhey Nakaam Ho Jaaney Key Baad
yuun hii besabab na phiraa karo
kisii shaam ghar bhii rahaa karo
vo Gazal kii sachchhii kitaab hai
use chupake chupake parhaa karo
Ye jo mere ankho mein halki se nami rehte hain
ye tery bichar jane ka malal he to hain
aja k abe zabat ka mousam nahi guzra
aja k abe paharo per berf jami hai
khushbo k jazero se sitaro ke hado tak
sab kuch hai is sher mein bas tere kami hai
Yadon K Hashiyey Bhi Ehem Hain Bohut Mohsin
Deemak Lagi Kitaab Ko Ahista Kholiyey
Yun mehwe muhabbat huye hum yaad mai unki
Phir dil se kabhi jhaank ke bahar nahee dekha
ajnabi shahr k ajnabi rastey mari tanhai pa muskurate rahye
main bahut dair tak younhi chalta raha tum bahut dair tak yaad aatey rahye
Yeh Andherey Bhi Humarey Liyey Aaina Hain
Rubaroo Kertey Hain Kirdaar Key Kitney Pehloo
wafa ruswa nahi karna
kabhi aysa nahi karna
main pehly he akeela hon
mujhy tanha nahi karna
inn jheel c ankhon main
kabhi sehra nahi karna
yuuN to har shaam ummiidon men guzar jaatii thii
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aaya
Ana Ki Jung Main Hum Jeet Tu Gye Lekin
Phir Us Key Baad Bohut Der Tak Nidhaal Rehey
یہ اور بات چشم نہ ہو معنی آشنا
عبرت کا ایک درس تھی تحریر جو بھی تھی
Es se pehle k bewafa ho jain
kyon na ey dost hum juda ho jain
rootha rahay muj say mujay manzoor hai lekin
yaaro osay samjhao mera shehar na choray
Wo rastey jin pa kabhi gamzan tha dono
mujhye rouk rouk k poeechain, tera humsafar kahan h
ummid-e-shifaa bhi nahin bimaar ko tere
Allah se mayuus hua bhii nahin jaataa
ye sukuut-e-naaz ye dil ki ragon ka Tootna
Khaamoshi men kuchh shikast-e-saz ki baaten karo
WO Aur Houn gay jin Ko sahil ka tha pata
hum ko Tu Doob kar bhi kinara na mil saka
ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravan rahane diya
jan kar ham ne unhen na-maharaban rahane diya
ye kis Khalish ne phir is dil men aashiyanaa kiya
phir aj kis ne suKhan ham se Gayebaana kiyaa
yas kii basti men ek chhoti si ummid-e-visaal
ajanabi ki tarah phirti hai ghabaraai hui
Ay kash yahan bars jay noor ki barish
eeman k shishon pay bri gard pri hay
Raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
Shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karte rahe