Tum ne dil ki baat keh di aaj ye achha hua,
Hum tumhain apna samajhtay thay, bada dhokha hua!
Printable View
Tum ne dil ki baat keh di aaj ye achha hua,
Hum tumhain apna samajhtay thay, bada dhokha hua!
Wo samjta hai k har Shaks badal jata hai
usay Lagta hai Zamana Us k Jaisa hai
Kon Kise ko Dil Me Jagah Deta Hai
Ped Bhi Sukhe Patte Gira Deta Hai
Waakif Hai Hum Duniya Ke Rivaajo Se
Jo Bhi Milta Hai Ek Naya Zakhm Deta Hai
Main tere saath hun har raah mein mujhse kehta tha wo
Tu phir aaj yeh rasta mujhe sunsaan lagta kyun hai
مجھے غم ملا تو میں خوش ہواکہ عجیب اپنامزاج ہے
مجھے اسکا کوی بھی غم نہیں کہ خلاف میرے سماج ہے
Jeene ki EK Nayi Adaa Di Hai, Khush Rehne Ki Usne Dua Di Hai,
Ae Khuda Use Sara Jahaan Dena, Jisne Apne Dil Me Hame Thodi Si Jagah Di Hai!
Tumne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Sakte The
Tumhare Aansoo Hamari Aankhon Se Nikal Sakte The
Tum To Tehre Rahe Jheel Ke Paani Ki Tarah
Dariya Bante To Dur Nikal Sakte The
Jhoote Ilzaam Meri Jaan Lagaya Na Karo
Dil Hai Nazuk Isse Tum Dukhaya Na Karo
Meri Aankhon Mein Jo Achche Nahi Lagte Aansoo
To Tum Mujhe Yun rulya Na Karo
Hum Itney Khoobsurat To Nahin Hain.. Saaqi.. Magar Haan...!
Jisey Aankh-Bhar Ke Dekh Lein Usey Uljhan Mein Daal Detey Hain...
kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa
manzil-e-ishq mein har gaam pe ronaa aayaa
Yeh Nahi Gham Ki Kasam Apni Bhulayi Tumne
Gham Yeh Hai Ki Raqeebon Se Nibhai Tumne
Koi Ranjish Thi Agar Tumko Toh Mujhse Kehte
Baat Aapas Ki Kyun Sabko Batayi Tumne
Khushyun hi pe mouqoof naheen ronak-e-mehfil
Ghum bhi to barha deta hai insaan ka darja
Din Mein Deepak Jalaane Se Kya Hoga
Raakh Mein Aag Lagaane Se Kya Hoga
Jab Aapko Aati Nahi Humaari Yaad
Toh Aapko Yaad Dilaane Se Kya Hoga
zara si baat dair tak rulati rahi
Khushi mein bhi aankh ashk bahati rahi
Koi mil k kho gaya tu koi kho k mil gaya
Bas zindagi hum ko aisay hi aazmati rahi
Ati hai chahaton ki kahani pe ab hansi
Tum se bicher ke soch ke rukh bhi badal gayii
Ab tum ko dekh kar bhi dharakta nahi hai dil
Tum wo nahi rahe ke mere dukh badal gayii...
a dost hum ne traq-e-talluk ke bawajood
mesoos ki hai teri zaroat kabhi kabhi,
Wafa ka Mujh se Takaza Na Karo ae nasir
Rafaqatoon Ka Mere Shahr Main Rivaj Naheen Hai
Bhool Jana Tha Toh Apna Banaya Kyun Tha
Jhuti Ulfat Ka Yaqeen Dilaya Kyun Tha
Apni Chahat Ka Yakin Dilaya Kyun Tha
Jhooti Manzil Ka Nishaan Banaya Kyun Tha
Ahle zabaan to hain bohut koi nahin ahle dil
Kaun teri tarah Rahat dard ke geet ga sake
Hamare baad nahi ayega unhe chahat ka aisa maza Nasir
Woh logon se kehte phirenge mujhe chaho uski tarha
Kab tak kisi kay soog mein royen gay baith kar
Hum khud ko kitni baar yeh samjha kar ro parey
Barish ki tara boondon ne jb dastk di drwaze pr
Mehsos hua tum aye ho andaz tmhare jesa tha
بچھڑتے وقت جو تم سونپ کر گئے تھے مجھے
وہ انتظار مرے چار سو ابھی تک ہے
ek hairat hai ki sarchashma-e-anwaar-e-shahood
qalb-dar-qalb ubaltaa nazar aataa hai mujhe
Achanak phir bachaya hai kisi nadeeda hasti ne
Magar kaise hua yeh mojza maloom karna hai
Tujhey kuch yaad hai kal kab main tujh ko yaad aaya tha
Mujhey aye maa'n tera waqt-e-dua maloom karna hai
Aflaas nay bachon ko tehzeeb sikha di hai,
Sehmay hue bethay hain, sharaarat nahi kartay!
Ab os k baad laga DiL to DiL lagi hogi
Hum os pe apni mohabt tamaam kr aaye...
Main gum rehta hoon har pal teri yaadon ke melay main
Tujhe dil se bhulana hai magar fursat nahi milti
Kal uski aankh ne kia zinda guftagu ki thi
Gumaan tak na hua woh bicharne wala hai
Zakhm itnay teri chaahat say milain hain mujhko,
Sochta hoon kay kahoon tujhsay, magar jaanay day!
os se kab hum ne mulaqaat ka wada chaha
dour rah kar tu osey or bhi ziyada chaha
"yaad aya hay kuch or bhi shidat se humhin
dour jane ka os se jab bhi irada chaha
yeh dunia hai yahn per yeh tamsha ho be sakta hai
Abi jo ghum hamara hai tumhra ho be sakta hai
Woh Silsalay, Woh Shok, Woh Nisbat Nahi Rahi
Ab Zindagi Main Hijer Ki Wehshat Nahi Rahi
Toota Hai Jab se Uski Masihai Ka Talism
Dil Ko Kissi Masiha Ki Haajat Nahi Rahi
Yaad aaon tu bas itni se anayat karna,
Apny badly huay lehjay ki wazahat karna.
Tum tu chahat ka shahkar howa karty thy,
Kis se seeka ha? ye ulfat mai melawat karna
yeh sajaya sajaya ghur saqi, meri zaat nahi mera haal nahi,,,
ay kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne azaar dia
Ab ke yuN dil ko sazaa dii hamne, us kii har baat bhulaa dii hamne.
Ek, ek phool bahut yaad aaya, shaaKh-e-gul jab vo jalaa dii hamne
Aangan main Ghanay pairr K neechay teri yaddain
meela sa laga deti hain acha nahin kertien........!!!
Ise Ishq se, Ise Chah se, Ise piyar se, Ise maan se
meray hath main GULLAB do main bohat dino se uddas hon
Yah Ajeeb Mohabbat hay K Zamana Janta hay
Na Main us ki Manta hon Na woh meri manta hay
Koi Us se Ja Kay Pochay Usay Kia Mila Bicher ker
Main bhi Khaak Chan'ta hOn woh bhi Khaak Chan'ta hay
ik tum he na mil sakay zindage men warna
log to chehray badal badal k milay