A very common mistake of muslims (Alarm)
Assalam u Alaikum !
http://1.bp.blogspot.com/-FiB2lQ_Ewo...600/azan+8.jpg
Mai ne aksar logo ko dekha jo is tasbeeh ko sirf itna kehty hain "La haola wa la quwwata" (naozobillah)
Aur TV pe chalny waly aksar plays mai b sirf itna hi kehty hain "La haola wa la quwwata" (Naozobillah)
Jis ka meaning hai "There is neither might nor any power" (naozobillah)
Jis se is tasbeh ka maini o mafhoo bilkul ulat ho jata hai
Yani ALLAH ki taqat o azmat ko tasleem k bjaye nafi ho jati hai
Jo mere nazdeek kufar hai lekin mje nhi maloom kisi scholar ne is pe kbi koi fatwa dia ya nhi.
Lekin ap maini se khud andaza kr skty hain k ye ghalat hai ya sahi.
Is liye meri iltamas hai is tasbeeh ko mukammal "La haola wa la quwwata illah Billah" kahen warna mat kahen.
ALLAH Ta'ala hmain rah e hdayat pe chalny ki tofeeq ata farmaye (Ameen)
Shukria
Wa ma alaina illal blagh
Fe aman ALLAH
Re: A very common mistake of muslims (Alarm)
Re: A very common mistake of muslims (Alarm)
Re: A very common mistake of muslims (Alarm)
Walikum As Salam
Jazak ALLAH Khair