Ek pal ghamoun ka dariya, eik pal khushi ka dariya
Ek pal ghamoun ka dariya, eik pal khushi ka dariya
Thamta nahi kabhi bhi yeh zindagi ka dariya
Ankhain thi wo kisi ki yaa khuwab k jazeeray ?
Aawaz thi kisi ki yaa raagni ka dariya ?
Is dil ki wadiyoun main ab khaak ur rahi hai
Behta nahi tha pehlay eik aashiqi ka dariya
Kirnoun may hain yeh lehray ya lehrao may hain kirnain ?
Dariya ki chandni hai yaa chandni ka dariya ?
Re: Ek pal ghamoun ka dariya, eik pal khushi ka dariya
Re: Ek pal ghamoun ka dariya, eik pal khushi ka dariya