View Full Version : Mirza Ghalib Collection
a ki meri jan mein qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai
dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai
giriya nikle hai teri bazm se mujh ko
haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai
ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mein ushshaq ki gubar nahi hai
dil se utha lutf-e-jalwa haye mani
gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai
qatl ka mere kiya hai ahad to bare
waye! agar ahad ustawar nahi hai
tu ne qasam maikashi ki khai hai 'Ghalib'
teri qasm ka kuch aitabar nahi hai
ah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak
dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak
ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
ham ne mana k taaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak
aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahen jise
phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise
"ghalib" bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise
amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost
ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost
khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost
ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost
chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost
arz-e-niyaz-e-ishq k qabil nahi raha
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha
jata hun dag-e-hasrat-e-hasti liye hue
hun shamma-e-kushta darkhur-e-mahfil nahi raha
marne ki ai dil aur hi tadbir kar k main
shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahi raha
ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz hai
yan imtiaz-e-nakis-o-qamil nahi rahaa
wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn
gair az nigah ab koi hail nahi raha
go main raha rahin-e-sitam haye rozgar
lekin tere khayal se gafil nahi raha
dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit k wan
hasil siwaye hasrat-e-hasil nahi raha
bedad-e-ishq se nahi darta magar 'Asad'
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha
bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai
tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani
yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai
bas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona
giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona
wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona
jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona
ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona
le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona
ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona
ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona
haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib'
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona
bazicha-e-atfal hai duniya mere age
hota hai shab-o-roz tamasha mere age
ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere age
juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age
hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere age
mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya rang hai tera mere age
sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere age
phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere age
nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyon kar kahun lo nam na us ka mere age
iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere piche hai kalisa mere age
ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam
majnun ko bura kahti hai laila mere age
khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate
ai shab-e-hijaran ki tamanna mere age
hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere age
go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai
rahne do abhi sagar-o-mina mere age
hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera
'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age
be-aitadaliyon se subuk sab mein ham hue
jitne ziyada ho gaye utne hi kam hue
pinhan tha dam sakht qarib ashiyan k
urne na paye the k giraftar ham hue
hasti hamari apni fana par dalil hai
yan tak mite k ap ham apni qasam hue
sakhtikashan-e-ishq ki puche hai kya khabar
wo log rafta-rafta sarapa alam hue
teri wafa se kya ho talafi ki dahar mein
tere siwa bhi ham pe bahut se sitam hue
likhte rahe junun ki hikayat-e-khunchakan
harchand is mein hath hamare qalam hue
Allah re! teri tundi-e-khu jis k bim se
azza-e-nala dil mein mere rizqe-ham hue
ahal-e-hawas ki fatah hai tark-e-nabard-e-ishq
jo panw uth gaye wo hi un k alam hue
nal-e-adam mein chand hamare supurd the
jo wan na khinch sake so wo yan aa k dam hue
chori 'Asad' na ham ne gadai mein dillagi
sail hue to ashiq-e-ahal-e-karam hue
chahiye achon ko jitna chahiye
ye agar chahen to phir kya chahiye
sohbat-e-rinda se wajib hai hazar
ja-e-mai apne ko khencha chahiye
chahne ko tere kya samjha tha dil
bare ab is se bhi samjha chahiye
chak mat kar jeb be ayyam-e-gul
kuch udhar ka bhi ishara chahiye
dosti ka parda hai beganagi
munh chupana ham se chora chahiye
dushmani main meri khoya gair ko
kis qadar dushman hai dekha chahiye
apni ruswai main kya chalti hai sai
yar hi hangama ara chahiye
munhasir marne pe ho jis ki umid
naumidi us ki dekha chahiye
gafil in mah talaaton k waste
chahne wala bhi acha chahiye
chahte hain khubruon ko asad
ap ki surat to dekha chahiye
dard minnat kashe-dawa na hua
main na acha hua, bura na hua
jama karte ho kyon raqibon ko
ik tamasha hua gila na hua
ham kahan qismat azmane jayen
tu hi jab khanjar azma na hua
kitne shirin hain tere lab k raqib
galiyan khak bemaza na hua
hai khabar garm un k ane ki
aj hi ghar mein boriya na hua
kya wo namard ki khudai thi
bandagi mein mera bhala na hua
jan di, di hui usi ki thi
haq to yun hai k haq ada na hua
zakhm gar dab gaya lahu na thama
kam gar ruk gaya rawa na hua
rahzani hai k dilsitanee hai
lek dil, dilsitan rawa na hua
kuch to parhiye k log kahte hain
aj 'ghalib' gazalsara na hua
dayam para hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main
kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main
yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
had chahiye saza mein uqubat k waste
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main
kis waste aziz nahi jante mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main
rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main
karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
kya asman k bhi barabar nahi hun main
'ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"
dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai
main use dekhun bhala kab mujhse dekha jaye hai
hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai
abgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai
gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi kare
gar haya bhi usko ati hai to sharma jaye hai
shauq ko ye lat k hardam nala khenche jaiye
dil k wo halat k dam lene se ghabara jaye hai
dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se wah wah
nagma ho jata hai wan gar nala mera jaye hai
garche hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raz-e-ishq
par ham aise khoye jate hain k wo pa jaye hai
uski bazmaraiyan sunkar dil-e-ranjur yan
misl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai
ho k ashiq wo parirukh aur nazuk ban gaya
rang khulta jaye hai jitna k urata jaye hai
naqsh ko us k musawwir par bhi kya kya naz hai
khenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaye hai
saya mera mujhse misl-e-dud bhage hai 'Asad'
pas mujh atishba-jan k kis se thahra jaye hai
dhota hun jab main pine ko us simtan k paon
rakhta hai zid se khench kar bahar lagan k paon
di sadagi se jan parun kohkan k paon
hai hat kyon na tut gae pirazan k paon
bhage the ham bahut so usi ki saza hai ye
hokar asir dabte hain rahzan k paon
marham ki justaju mein phira hun jo dur-dur
tan se siwa figar hain is khasta tan k paon
Allah re zauq-e-dashtanwardi k baade-marg
hilte hain khud-ba-khud mere andar kafan k paon
hai josh-e-gul bahar mein yan tak k har taraf
urte hue ulajhte hain murg-e-chaman k paon
shab ko kisi k khwab mein aya na ho kahin
dukhte hain aj us but-e-nazukbadan k paon
'ghalib' mere kalam mein kyon kar maza na ho
pita hun khusro-e-shirinsukhan k paon
dil-e-nadan tujhe hua kya hai
akhir is dard ki dawa kya hai
ham hain mushtaq aur wo bezar
ya ilahi ye majara kya hai
main bhi munh mein zaban rakhta hun
kash pucho k mudda kya hai
jab k tujh bin nahi koi maujud
phir ye hangama, ai Khuda kya hai
ye pari chehra log kaise hain
gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai
shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
sabza-o-gul kahan se aye hain
abr kya chiz hai hawa kya hai
hamko unse wafa ki hai ummid
jo nahi jante wafa kya hai
han bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai
jan tum par nisar karta hun
main nahi janta dua kya hai
main ne mana k kuch nahi 'ghalib'
muft hath aye to bura kya hai
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun
roenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun
dair nahi haram nahi dar nahi astan nahi
baithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun
jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
ap hi ho nazrasoz, parde mein munh chupaye kyun
dashna-e-gamza jansitan, nawak-e-naz bepanah
tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aye kyun
qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
maut se pahle admi gam se najat paye kyun
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahawas ki sharm
apne pe etimad hai gair ko azamaye kyun
wan wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas waza
rah mein ham milen kahan, bazm mein wo bulayen kyun
han wo nahi khudaparast, jao wo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaye kyun
"ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hain
roie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun
dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya
atish-e-khamosh k manind goya jal gaya
dil mein zauq-e-wasl-o-yad-e-yar tak baki nahi
ag is ghar mein lagi aisi k jo tha jal gaya
main adam se bhi pare hun warna gafil! barha
meri ah-e-atshin se bal-e-anqa jal gaya
arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan
kuch khayal aya tha wehshat ka k sehra jal gaya
dil nahi, tujh ko dikhta warna dagon ki bahar
is charagan ka, karun kya, karfarma jal gaya
main hun aur afsurdagi ki arazu "Ghalib"! k dil
dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya
dil se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein razamand kar gai
shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai
wo bada-e-shabana ki saramastiyan kahan
uthiye bas ab k lazzat-e-khwab-e-sahar gai
urti phire hai khak meri ku-e-yar mein
bare ab ai hawa, hawas-e-bal-o-par gai
dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai
har bulahawas ne husn parasti shiar ki
ab abaru-e-shewa-e-ahal-e- nazar gai
nazzare ne bhi kam kiya wan naqab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gai
farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gaya
kal tum gae k ham pe qayamat guzar gai
mara zamane ne 'Asadullah khan" tumhen
wo walwale kahan, wo jawani kidhar gai
diya hai dil agar us ko, bashar hai kya kahiye
hua raqib to ho, namabar hai, kya kahiye
ye zid, k aj na awe aur aye bin na rahe
qaza se shikwa hamein kis qadar hai, kya kahiye
rahe hai yun gah-o-begah k ku-e-dost ko ab
agar na kahiye k dushman ka ghar hai, kya kahiye
zih-e-karishma k yun de rakha hai hamko fareb
k bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiye
samajh k karte hain bazar mein wo pursish-e-hal
k ye kahe ki sar-e-rahguzar hai, kya kahiye
tumhen nahi hai sar-e-rishta-e-wafa ka khayal
hamare hath mein kuch hai, magar hai kya kahiye
unhen sawal pe zaom-e-junun hai, kyun lariye
hamein jawab se qata-e-nazar hai, kya kahiye
hasad saza-e-kamal-e-sukhan hai, kya kije
sitam, baha-e-mataa-e-hunar hai, kya kahiye
kaha hai kisne k "ghalib" bura nahi lekin
siway isak ki ashuftasar hai kya kahiye
donon jahan de k wo samjhe ye khush raha
yan a pari ye sharm ki takrar kya karen
thak thak k har maqam pe do char rah gaye
tera pata na payen to nachar kya karen
kya shama k nahin hai hawa khwah ahal-e-bazm
ho gam hi jan gudaz to gamkhwar kya karen
dost gamkhwari main meri sai farmayenge kya
zakhm k bharne talak nakhun na barh jayenge kya
beniyazi had se guzri banda parwar kab talak
ham kahenge hal-e-dil aur ap farmayenge kya
hazrat-e-naseh gar ayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samjha do k samajhayenge kya
aj wan teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne main wo ab layenge kya
gar kiya naseh ne ham ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq k andaz chut jayenge kya
khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-wafa zindan se ghabarayenge kya
hai ab is mamure main qahat-e-gam-e-ulfat asad
ham ne ye mana k dilli main rahe khayenge kya
ek ek qatre ka mujhe dena para hisab
khun-e-jigar wadiat-e-mishagan-e-yar tha
ab main hun aur matam-e-yak shahar-e-arazu
tora jo tu ne aina timsal dar tha
galiyon main meri nash ko khenche phiro k main
jan dad-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha
mauj-e-sarab-e-dasht-e-wafa ka na puch hal
har zarra misl-e-jauhar-e-teg abdar tha
kam jante the ham bhi gam-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gam-e-rozgar tha
gai wo bat k ho guftagu to kyonkar ho
kahe se kuch na hua phir kaho to kyonkar ho
hamare zahan main is fikr ka hai nam wisal
k gar na ho to kahan jayen ho to kyonkar ho
adab hai aur yahi kashmakash to kya kije
haya hai aur yahi gomago to kyonkar ho
tumhin kaho k guzra sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi khu to kyonkar ho
uljhte ho tum agar dekhte ho aina
jo tum se shahar main ho ek do to kyonkar ho
jise nasib ho roz-e-siyah mera sa
wo shakhs din na kahe rat ko to kyonkar ho
hamain phir un se umid aur unhen hamari qadr
hamari bat hi puche na wo to kyonkar ho
galat na tha hamain khat par guman tasalli ka
na mane dida-e-didar ju to kyonkar ho
batao us misha ko dekhkar ho mujh ko qarar
yah nesh ho rag-e-jan main faro to kyonkar ho
mujhe junun nahin Galib wale baqaul-e-huzur
firaq-e-yar main taskin ho to kyonkar ho
gair len mahfil mein bose jam k
ham rahen yun tashnalab paigam k
khastagi ka tum se kya shikwa k ye
hathakande hain charkh-e-nili fam k
khat likhenge garche matlab kuch na ho
ham to ashiq hain tumhare nam k
rat pi zam-zam pe may aur subh-dam
dhoe dhabbe jama-e-ehram k
dil ko ankhon ne phansaya kya magar
ye bhi halqe hain tumhare dam k
shah k hai gusl-e-sehat ki khabar
dekhiye din kab phiren hammam k
ishq ne 'ghalib' nikamma kar diya
warna ham bhi adami the kam k
bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai
bhatke hue insan se kuch bhul hui hai
ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phulon k nigehban se kuch bhul hui hai
jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai
us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai
hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai
huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui hai
gam-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uthane ki
falak ka dekhna taqrib tere yad ane ki
khulega kis tarah mazmun mere maktub ka yarab
qasam khai hai us kafir ne kagaz k jalane ki
lipatna paraniyan main shola-e-atish ka asan hai
wale mushkil hai hikmat dil main soz-e-gam chupane ki
unhen manzur apne zakhmiyon ka dekh ana tha
uthe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahane ki
hamari sadagi thi iltafat-e-naz par marna
tera ana na tha zalim magar tamahid jane ki
laqad-kob-e-hawadis ka tahammul kar nahin sakti
meri taqat k zamin thi buton k naz uthane ki
kahun kya khubi-e-auzag-e-ibna-e-zaman "Ghalib"
badi ki usne jis se hamne ki thi barha neki
ghar hamara, jo na rote bhi, to wiran hota
bahr gar bahr na hota to bayaban hota
tangi-e-dil ka gila kya, ye wo kafir dil hai
k agar tang na hota, to pareshan hota
bad-e-yak umr-e-wara, bar to deta bare
kash rizwan hi dar-e-yar ka darban hota
ghar jab bana liya hai tere dar par kahe bagair
janega ab bhi tu na mera ghar kahe bagair
kahte hain, jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan
janun kisi k dil ki main kyunkar kahe bagair
kam us se a para hai k jisaka jahan mein
lewe na koi nam sitamagar kahe bagair
ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna ham
sar jaye ya rahe na rahen par kahe bagair
chorunga main na us but-e-kafir ka pujana
chore na khalq go mujhe kafir kahe bagair
maqsad hai naz-o-gamza wale guftagu mein kam
chalta nahi hai, dashna-o-khanjar kahe bagair
har chand ho mushahida-e-haq ki guftagu
banti nahi hai bada-o-sagar kahe bagair
bahra hun main to chahiye duna ho iltfat
sunta nahi hun bat muqarrar kahe bagair
"ghalib" na kar huzur mein tu bar-bar arz
zahir hai tera hal sab un par kahe bagair
hai bas k har ik un k ishare mein nishan aur
karte hain muhabbat to guzarta hai guman aur
ya rab wo na samjhe hain na samajhenge meri bat
de aur dil un ko jo na de mujhko zuban aur
abaru se hai kya us nigah -e-naz ko paiband
hai tir muqarrar magar us ki hai kaman aur
tum shahar mein ho to hamein kya gam jab uthenge
le ayenge bazar se jakar dil-o-jan aur
har chand subukdast hue butshikni mein
ham hain to abhi rah mein hai sang-e-giran aur
hai khun-e-jigar josh mein dil khol k rota
hote kai jo dida-e-khunnabafishan aur
marta hun is awaz pe har chand sar ur jaye
jalad ko lekin wo kahe jaye k han aur
logon ko hai khurshid-e-jahan tab ka dhoka
har roz dikhata hun main ik dag-e-nihan aur
leta na agar dil tumhen deta koi dam chain
karta jo na marta koi din ah-o-fugan aur
pate nahi jab rah to char jate hain nale
rukti hai meri taba to hoti hai rawan aur
hain aur bhi duniya mein sukhanawar bahut ache
kahte hain ki 'Ghalib' ka hai andaz-e-bayan aur
hairan hun dil ko roun k pitun jigar ko main
maqadur hun to sath rakhun nauhagar ko main
chora na rashk ne k tere ghar ka nam lun
har ek se puchta hun k jaun kidhar ko main
jana para raqib k dar par hazar bar
ai kash janta na teri rahguzar ko main
hai kya jo kas k bandhiye meri bala dare
kya janta nahi hun tumhari kamar ko main
lo wo bhi kahte hain k ye benang-o-nam hai
ye janta agar to lutata na ghar ko main
chalta hun thori dur har ik tez rau k sath
pahchanta nahi hun abhi rahbar ko main
khwahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar
kya pujta hun us but-e-bedadagar ko main
phir bekhudi mein bhul gaya rah-e-ku-e-yar
jata wagarna ek din apni khabar ko main
apne pe kar raha hun qiyas ahal-e-dahar ka
samjha hun dil pazir mata-e-hunar ko main
"ghalib" Khuda kare k sawar-e-samand-e-naz
dekhun ali bahadur-e-aliguhar ko main
ham rashk ko apne bhi gawara nahin karte
marte hain wale un ki tamanna nahin karte
dar parda unhen gair se hai rabt-e-nihani
zahir ka ye parda hai k parda nahin karte
yah bais-e-naumidi-e-arbab-e-hawas hai
Galib ko bura kahte ho acha nahin karte
har ek bat pe kahte ho tum k tu kya hai
tumhin kaho k ye andaz-e-guftagu kya hai
na shole mein ye karishma na barq mein ye ada
koi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya hai
ye rashk hai k wo hota hai hamsukhan hamse
wagarna khauf-e-badamozi-e-ad kya hai
chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamari jeb ko an hajat-e-rafu kya hai
jala hia jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab rakh justaju kya hai
ragon mein daurate phirne k ham nahi qayal
jab ankh hi se na tapka to phir lahu kya hai
wo chiz jis k liye ham ko ho bahisht aziz
siwae bada-e-gulfam-e-mushkabu kya hai
piyun sharab agar khum bhi dekh lun do char
ye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subu kya hai
rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis ummid pe kahiye k arazu kya hai
bana hai shah ka musahib, phire hai itarata
wagarna shahar mein "ghalib" ki abaru kya hai
hazaron khwahishen aisi k har khwaish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle
dare kyun mera qatil kya rahega usaki gardan par
wo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle
nikalna khuld se adam ka sunte aye hain lekin
bahut be-abaru hokar tere kuche se ham nikle
bharam khul jaye zalim tere qamat ki darazi ka
agar is turra-e-purapech-o-kham ka pech-o-kham nikle
magar likhwaye koi us ko khat to hamase likhawaye
hui subah aur ghar se kan par rakkhar qalam nikle
hui is daur mein mansub mujhse bada-ashmi
phir aya wo zamana jo jahan se jam-e-jam nikle
hui jinse tawaqqo khastagi ki dad pane ki
wo hamse bhi ziyada khasta-e-teg-e-sitam nikle
muhabbat mein nahi hai farq jine aur marne ka
usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle
zara kar jor sine par ki tir-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle
Khuda k waste parda na kabe se utha zalim
kahi aisa na ho yan bhi wahi kafir sanam nikle
kahan maikhane ka darwaza 'ghalib' aur kahan waiz
par itna jante hain kal wo jata tha k ham nikle
hui takhir to kuch bais-e-takhir bhi tha
ap ate the magar koi inangir na tha
tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila
us main kuch shaib-e-khubi-e-taqdir bhi tha
tu mujhe bhul gaya ho to pata batla dun
kabhi fitrak main tere koi nakhchir bhi tha
qaid main hai tere wahshi ko wahi zulf ki yad
han kuch ek ranj-e-garanbari-e-zanjir bhi tha
bijli kaund gai ankhon k age, to kya
bat karte, k main lab tashna-e-taqrir bhi tha
yusuf us ko kahun aur kuch na kahe, khair hui
gar bigar baithe to main layaq-e-ta'zir bhi tha
dekh kar gair ko kyun ho na kaleja thanda
nala karta tha wale talib-e-tasir bhi tha
peshe main aib nahin, rakhiye na farhad ko nam
ham hi ashufta-saron main wo jawan 'Meer' bhi tha
ham the marne ko khare pas na aya na sahi
akhir us shaukh k tarkash main koi tir bhi tha
pakre jate hain farishton k likhe par nahak
admi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha
rekhta k tumhin ustad nahin ho "Ghalib"
kahte hain agle zamane main koi 'meer' bhi tha
husn-e-mah garche bahangam-e-kamal acha hai
us se mera mah-e-khurshid-e-jamal acha hai
bosa dete nahi aur dil pe hai har lahja nigah
ji mein kahte hain muft aye to mal acha hai
aur bazar se le ayen agar tut gaya
sagar-e-jam se mera jam-e-sifal acha hai
betalab den to maza usmen siwa milta hai
wo gada jisko na ho khu-e-sawal acha hai
un k dekhe se jo a jati hai munh par raunaq
wo samajhte hain k bimar ka hal acha hai
dekhiye pate hain ushshaq buton se kya faiz
ik birahman ne kaha hai k ye sal acha hai
hamsukhan teshe ne farhad ko shirin se kiya
jis tarah ka bhi kisi mein ho kamal acha hai
qatra darya mein jo mil jaye to darya ho jaye
kam acha hai wo jiska maal acha hai
khijr sultan ko rakhe khaliq-e-akbar sarsabz
shah k bag main ye taza nihal acha hai
hamko malum hai jannat ki haqiqat lekin
dil k khush rakhne ko Ghalib ye khayal acha hai
husn gamze k kashakash se chuta mere bad
bare aram se hai ahl-e-jafa mere bad
mansab-e-sheftagi k koi qabil na raha
hui mazuli-e-andaz-o-ada mere bad
shama bujhti hai to us mein se dhuan uthta hai
shola-e-ishq siyahposh hua mere bad
khun hai dil khak mein ahwal-e-butan par, yani
unk nakhun hue mohtaj-e-hina mere bad
darkhur-e-arz nahi jauhar-e-bedad ko ja
nigah-e-naz hai surme se khafa mere bad
hai junun ahl-e-junun k liye agosh-e-wida
chaq hota hai gareban se juda mere bad
kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai mukarrar lab-e-saqi pe sala mere bad
gam se mata hun k itna nahi dunya mein koi
k kare taziyat-e-mehar-o-wafa mere bad
aye hai bekasi-e-ishq pe rona 'Ghalib'
kisk ghar jayega sailab-e-bala mere bad
ibn-e-mariym hua kare koi
mere dukh ki dawa kare koi
shura-o-ain par madar sahi
aise qatil ka kya kare koi
chal jaise kadi kaman ka tir
dil main aise k ja kare koi
bat par wan zuban katti hai
wo kahen aur suna kare koi
bak raha hun junun main kya kya kuch
kuch na samjhe Khuda kare koi
na suno gar bura kahe koi
na kaho gar bura kare koi
rok lo gar galat chale koi
bakhsh do gar khata kare koi
kaun hai jo nahi hai hajatmand
kiski hajat rawa kare koi
kya kiya khijr ne sikandar se
ab kise rahnuma kare koi
jab tawaqqo hi uth gayi "Ghalib"
kyon kisi ka gila kare koi
ishq mujhko nahi wahshat hi sahi
meri wahshat teri shohrat hi sahi
qata kije na talluq ham se
kuch nahi hai to adawat hi sahi
mere hone mein hai kya ruswai
ye wo majlis nahi khalwat hi sahi
ham bhi dushman to nahi hain apne
gair ko tujh se mohabbat hi sahi
apni hasti hi se ho jo kuch ho
agahi gar nahi gaflat hi sahi
umr har chand ki hai barq-e-khiram
dil k khun karne ki fursat hi sahi
ham koi tarq-e-wafa karte hain
na sahi ishq musibat hi sahi
kuch to de ai falak-e-nainsaf
ah-o-fariyad ki rukhsat hi sahi
ham bhi taslim ki khu dalenge
beniyazi teri adat hi sahi
yar se cheda chali jaye "Asad"
gar nahi wasl to hasrat hi sahi
ishq tasir se naumed nahi
jan supari shajr-e-bed nahi
sultnat dast-ba-dast ai hai
jam-e-mai khatam-e-jamshed nahi
hai tajalli teri samne wajud
jara be partawe khurshid nahi
raz-e-mashuq na ruswa ho jaye
warna mar jane mein kuch bhed nahi
gardish-e-rang-e-tarab se dar hai
gam-e-mahrumi-e-jawed nahi
kahte hain jite hain ummid pe log
ham ko jine ki bhi ummid nahi
kab wo sunta hai kahani meri
aur phir wo bhi zabani meri
khalish-e-gamza-e-khunrez na puch
dekh khunbafishani meri
kya bayan kar k mera royege yar
magar ashufta-bayani meri
hun zikhud rafta-e-baida-e-khayal
bhul jana hai nishani meri
mutaqabil hai muqabil mera
ruk gaya dekh rawani meri
qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hun
sakht arzan hai girani meri
dahan us ka jo na malum hua
khul gai hao chamandani meri
kar diya zof ne ajiz "Ghalib"
nang-e-piri hai jawani meri
kabhi neki bhi us k ji main a jaye hai mujhse
jafayen kark apni yad sharma jaye hai mujhse
Khudaya! Jazba-e-dil ki magar tasir ulti hai
k jitna khenchta hun aur khinchta jaye hai mujhse
wo bad khu aur meri dastan-e-ishq tulani
ibarat mukhtasar, qasid bhi ghabra jaye hai mujhse
udhar wo badgumani hai, idhar ye natawani hai
na pucha jaye hai usse, na bola jaye hai mujhse
sanbhalne de mujhe ae naumidi, kya qayamat hai
k damane khayale yar chuta jaye hai mujhse
takalluf bar taraf nazzaragi mein bhi sahi, lekin
wo dekha jaye, kab ye zulm dekha jaye hai mujhse
hue hain paon hi pahle nabard-e-ishq mein zakhmi
na bhaga jaye hai mujhse, na thahra jaye hai mujhse
qayamat hai k hoe muddai ka hamsafar Ghalib
wo kafir, jo Khuda ko bhi na saunpa jaye hai mujhse
kahte ho na denge ham dil agar para paya
dil kahan k gum kije hamne muddaa paya
ishq se tabiat ne zist ka maza paya
dard ki dawa pai dard-e-bedawa paya
dostdar-e-dushman hai etimad-e-dil malum
ah beasar dekhi nala narasa paya
sadagi-o-purkari bekhudi-o-hoshiyari
husn ko tagaful main juraat azama paya
guncha phir laga khilne aj ham ne apna dil
khun kiya hua dekha gum kiya hua paya
hal-e-dil nahin malum lekin is qadar yani
ham ne bara dhunda tum ne bara paya
shor-e-pand-e-naseh ne zakhm par namak chirka
ap se koi puche tum ne kya maza paya
ki wafa hamse to gair use jafa kahte hain
hoti ai hai k achon ko bura kahte hain
aj ham apni pareshani-e-khatir un se
kahne jate to hain, par dekhiye kya kahte hain
agle waqton k hain ye log, inhen kuch na kaho
jo may-o-nagmein ko andohruba kahte hain
dil mein a jae hai, hoti hai jo fursat gash se
aur phir kaun se nale ko rasa kahte hain?
hai par-e-sarhad-e-idrak se apna masjud
qible ko, ahal-e-nazar, qiblanuma kahte hain
pa-e-afgar pe jab se tujhe raham aya hai
khar-e-rah ko tere ham mehr-e-giya kahte hain
ik sharar dil mein hai, us se koi ghabrayga kya
ag matalub hai hamako, jo hawa kahate hain
dekhiye lati hai us shokh ki nakhwat kya rang
us ki har bat pe ham nam-e-Khuda khate hain
wehshat-o-shefta ab marsiya kahwen shayad
mar gaya "Ghalib"-e-ashuftanawa kahte hain
kisi ko dek dil koi nawsanj-e-fugan kyon ho
na ho jab dil hi sine main to phir munh main zuban kyon ho
wo apni khu na chorenge ham apni waza kyon badlen
subuksar banak kya puchen k ham se sargiran kyon ho
kiya gamkhwar ne ruswa lage ag is muhabbat ko
na laye tab jo gam ki wo mera razdan kyon ho
wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phorna thahra
to phir ai sangdil tera hi sang-e-astan kyon ho
qafas mein mujh se rudad-e-chaman kahte na dar hamdam
giri hai jis pe kal bijli wo mera ashiyan kyon ho
ye kah sakte ho ham dil mein nahi hain par ye batao
k jab dil main tumhin tum ho to ankhon se nihan kyon ho
galat hai jazba-e-dil ka shikawa dekho jurm kiska hai
na khincho gar tum apne ko kashakash darmiyan kyon ho
ye fitna admi ki khanawirani ko kya kam hai
hue tum dost jisk dushman uska asman kyon ho
yahi hai azmana to satana kis ko kahte hain
adu k ho liye jab tum to mera imtihan kyon ho
kaha tumne k kyon ho gair k milne mein ruswai
baja kahte ho sach kahte ho phir kahiyo k han kyon ho
nikla chahta hai kam kya tanon se tu "Ghalib"
tere bemahar kahne se wo tujh par meharban kyon ho
koi din gar zindagani aur hai
apne ji mein hamne thani aur hai
atish-e-dozakh mein ye garmi kahan
soz-e-gam hai nihani aur hai
barha dekhin hain un ki ranjishen
par kuch ab k sargirani aur hai
dek khat munh dekhta hai namabar
kuch to paigam-e-zabani aur hai
qata-e-amar hai aksar nujum
wo bala-e-asmani aur hai
ho chukin "Ghalib" balayen sab tamam
ek marg-e-nagahani aur hai
koi ummid bar nahi ati
koi surat nazar nahi ati
maut ka ek din muayyan hai
nind kyon rat bhar nahi ati
age ati thi hal-e-dil pe hansi
ab kisi bat par nahi ati
janta hun sawab-e-tahat-o-zahad
par tabiyat idhar nahi ati
hai kuch aisi hi bat jo chup hun
warna kya bat kar nahi ati
kyon na chikhun k yad karte hain
meri awaz gar nahi ati
dag-e-dilgarnazar nahi ata
bu bhi ai charagar nahi ati
ham wahan hain jahan se ham ko bhi
kuch hamari khabar nahi ati
marte hain arzu mein marne ki
maut ati hai par nahi ati
kaba kis munh se jaoge 'Ghalib'
sharm tumko magar nahi ati
kyonkar us but se rakhun jan aziz
kya nahin hai mujhe iman aziz
dil se nikla pa na nikla dil se
hai tere tir ka paikan aziz
tab laye hi banegi 'Ghalib'
baqia sakht hai aur jan aziz
lazim tha k dekho mera rasta koi din aur
tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur
mit jayega sar, gar tera paththar na ghisega
hun dar pe tere nasiyafarsa koi din aur
aye ho kal aur aj hi kahte ho k jaun
mana k hamesha nahi acha koi din aur
jate hue kahte ho qayamat ko milenge
kya khub! qayamat ka hai goya koi din aur
han ae falak-e-pir, jawan tha abhi arif
kya tera bigarta jo na marta koi din aur
tum mah-e-shab-e-charduhum the mere ghar k
phir kyon na raha ghar ka wo naqsha koi din aur
tum kaun se aise the khare dad-o-sitad k
karta malikulmaut taqaza koi din aur
mujhse tumhen nafrat sahi, nayyar se ladai
bachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur
guzri na baharhal ya muddat khushi-nakhush
karna tha jawanmarg! guzara koi din aur
nadan ho jo kahte ho k kyon jite ho 'Ghalib'
qismat main hai marne ki tamanna koi din aur
maharban ho k bula lo mujhe chaho jis waqt main
gaya waqt nahi hun k phir a bhi na sakun
zauf mein tana-e-agyar ka shikwa kya hai bat
kuch sar to nahi hai k utha bhi na sakun
zahar milta hi nahi mujhko sitamgar warna
kya qasam hai tere milne ki k kha bhi na sakun
main unhen cherun aur kuch na kahen
chal nikalte jo mai piye hote
qahar ho ya bala ho, jo kuch ho
kash k tum mere liye hote
meri qismat mein gam gar itna tha
dil bhi ya rab kai diye hote
a hi jata wo rah par 'Ghalib'
koi din aur bhi jiye hote
mana-e-dasht nawardi koi tadbir nahin
ek chakkar hai mere paon main zanjir nahin
hasrat-e-lazzat-e-azar rahi jati hai
jadah-e-rah-e-wafa juz dam-e-shamshir nahin
ranj-e-na-ummidi-e-jawed gawara rahiyo
khush hun gar nala zabuni kash-e-tasir nahin
sar khujata hai jahan zakhm-e-sar acha ho jaye
lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin
jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de
koi taqsir ba-juz khaslat-e-taqasir nahin
"Ghalib" apna ye aqida hai baqaul-e-nasikh
ap be-behra hain jo motaqid-e-mir nahin
maze jahan k apni nazar mein khak nahi
siway khun-e-jigar, so jigar mein khak nahi
magar gubar hue par hawa ura le jaye
wagarna tab-o-tawan bal-o-par main khak nahi
ye kis bahishtshamail ki amad-amad hai
k gair jalwa-e-gul rahguzar main khak nahi
bhala use na sahi, kuch mujhi ko raham ata
asar mere nafas-e-beasar main khak nahi
khayal-e-jalwa-e-gul se kharab hai maikash
sharabkhane k diwar-o-dar main khak nahi
hua hun ishq ki garatgari se sharminda
siway hasrat-e-tamir ghar main khak nahi
hamare sher hain ab sirf dillagi k 'Asad'
khula k fayeda arz-e-hunar mein khak nahi
milti hai khu-e-yar se nar iltihab mein
kafir hun gar na milti ho rahat azab mein
kab se hun kya bataun jahan-e-kharab mein
shab haye hijr ko bhi rakhun gar hisab mein
ta phir na intazar mein nind aye umr bhar
ane ka ahad kar gaye aye jo khwab main
qasid k ate ate khat ik aur likh rakhun
main janta hun jo wo likhenge jawab mein
mujh tak kab un ki bazm mein ata tha daur-e-jam
saqi ne kuch mila na diya ho sharab mein
jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale
kyun badguman hun dost se dushman k bab mein
main muztarib hun wasl mein khauf-e-raqib se
dala hai tum ko wahm ne kis pech-o-tab mein
mai aur hizz-e-wasl, khudasaz bat hai
jan nazr deni bhul gaya iztirab mein
hai tewri chari hui andar naqab k
hai ik shikan pari hui tarf-e-naqab mein
lakhon lagao, ik churna nigah ka
lakhon banao, ik bigrna itab mein
wo nala dil mein khas k barbar jagah na paye
jis nale se shigaf pare afatab mein
wo sehr mudda talbi mein na kam aye
jis sehr se safina rawan ho sarab mein
'Ghalib' chuti sharab, par ab bhi kabhi kabhi
pita hun roz-e-abr-o-shab-e-mahtab mein
muddat hui hai yar ko mahman kiye hue
josh-e-qadah se bazm charagan kiye hue
karta hun jama phir jigar-e-lakht-lakht ko
arsa hua hai dawat-e-mizshgan kiye hue
phir waza-e-ehtiyat se rukne laga hai dam
barason hue hain chak gireban kiye hue
phir garmnala haye shararbar hai nafas
muddat hui hai sair-e-charagan kiye hue
phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chala hai ishq
saman-e-sadhzar namakdan kiye hue
phir bhar raha hun khama-e-mizshgan bakhun-e-dil
saz-e-chamantarazi-e-daman kiye hue
bahamdigar hue hain dil-o-dida phir raqib
nazara-o-khayal ka saman kiye hue
dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jaye hai
pindar ka sanam kada wiran kiye hue
phir shauq kar raha hai kharidar ki talab
arz-e-mata-e-aql-o-dil-o-jan kiye hue
daude hai phir har ek gul-o-lala par khayal
sadgulsitan nigah ka saman kiye hue
phir chahta hun nama-e-dildar kholna
jan nazar-e-dilfarebi-e-unwan kiye hue
mange hai phir kisi ko lab-e-bam par hawas
zulf-e-siyah rukh pe pareshan kiye hue
chahe phir kisi ko muqabil mein arzu
surme se tez dashna-e-mizshgan kiye hue
ik naubahar-e-naz ko tak hai phir nigah
chehra furog-e-mai se gulistan kiye hue
phir ji mein hai k dar pe kisi k pare rahen
sar zer bar-e-minnat-e-darban kiye hue
ji dhundta hai phir wahi fursat k rat din
baithe rahen tasawur-e-janan kiye hue
'Ghalib' hamain na cher k phir josh-e-ashk se
baithe hain ham tahayya-e-tufan kiye hue
na hui gar mere marne se tasalli na sahi
imtihan aur bhi baqi ho to ye bhi na sahi
khar-khar-e-alam-e-hasrat-e-didar to hai
shauq gulshin-e-gulistan-e-tasalli na sahi
may parastan khum-e-may munh se lagaye hi bane
ek din gar na hua bazm mein saqi na sahi
nafaz-e-qais k hai chashm-o-charag-e-sahra
gar nahi shama-e-siyahakhana-e-laila na sahi
ek hangame pe maukuf hai ghar ki raunak
noh-e-gam hi sahi, nagma-e-shadi na sahi
na sataish ki tamanna na sile ki parwah
gar nahi hai mere ashar mein mane na sahi
ishrat-e-sohabat-e-khuban hi ganimat samjho
na hui "Ghalib" agar umr-e-tabii na sahi
na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota
duboya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota
hua jab gam se yun behis to gam kya sar k katne ka
na hota gar juda tan se to zannon par dhara hota
hui muddat k 'Ghalib' mar gaya par yad ata hai
wo har ek bat pe kahna k yun hota to kya hota
nahi k mujhko qayamat ka etiqad nahi
shab-e-firaq se roz-e-jaza ziyad nahi
koi kahe k shab-e-mah mein kya burai hai
bala se aj agar din ko abr-o-bad nahi
jo aun samne un k to marhaba na kahen
jo jaun wan se kahin ko, to khairabad nahi
kabhi jo yad bhi ata hun main to kahte hain
k aj bazm mein kuch fitna-o-fasad nahi
alawa eid k milti hai aur din bhi sharab
gada-e-kucha-e-maikhana namurad nahi
jahan mein ho gam-o-shadi baham, hamein kya kam
diya hai hamko Khuda ne wo dil k shad nahi
tum un k wade zikr un se kyun karo "Ghalib"
ye kya k tum kaho aur wo kahen k yad nahi
naqsh faryadi hai kis ki shokhi-e-tahrir ka
kagzi hai pairahan har paikar-e-taswir ka
kawe-kawe sakhtjani haye tanhai na puch
subah karna sham ka lana hai ju-e-shir ka
jazba-e-beikhtiyar-e-shauq dekha chahiye
sina-e-shamshir se bahar hai dam shamshir ka
agahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichaye
mudda anqa hai apne alam-e-taqrir ka
bas k hun 'Ghalib' asiri mein bhi atish zar-e-pa
mu-e-atishdida hai halqa meri zanjir ka
nuktachin hai gam-e-dil us ko sunaye na bane
kya bane bat jahan bat banaye na bane
main bulata to hun us ko magar ae jazba-e-dil
us pe ban jaye kuch aisi k bin aye na bane
khel samjha hai kahin chor na de, bhul na jaye
kash yun bhi ho k bin mere sataye na bane
gair phirta hai lie yun tere khat ko k agar
koi puche k ye kya hai to chupaye na bane
is nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya
hath ayen to unhen hath lagaye na bane
kah sak kaun k ye jalwagari kis ki hai
parda chora hai wo usne k uthaye na bane
maut ki rah na dekhun k bin aye na rahe
tum ko chahun k na ao to bulaye na bane
bojh wo sar pe gira hai k uthaye na uthe
kam wo an para hai ki banaye na bane
ishq par zor nahi, hai ye wo atish 'Ghalib'
k lagye na lage aur bujhaye na bane
phir is andaz se bahar ai
k huye mehar-o-mah tamashai
dekho ai sakinan-e-khita-e-khak
is ko kahte hain alam-arai
k zamin ho gai hai sar ta sar
ruksh-e-sathe charkhe minai
sabze ko jab kahin jagah na mili
ban gaya ru-e-ab par kai
sabz-o-gul k dekhne k liye
chashm-e-nargis ko di hai binai
hai hawa main sharab ki tasir
badnoshi hai bad paimai
kyun na duniya ko ho khushi "Ghalib"
shah-e-dindar ne shifa pai
phir kuch is dil ko beqarari hai
sina zoya-e-zakhm-e-kari hai
phir jigar khodne laga nakhun
amad-e-fasl-e-lalakari hai
qibla-e-maqsad-e-nigah-e-niyaz
phir wahi parda-e-ammari hai
chashm-e-dallal-e-jins-e-ruswai
dil kharidar-e-zauq-e-khwari hai
wahi sadrang nala farsai
wahi sadguna ashqbari hai
dil hawa-e-khiram-e-naz se phir
mahshristan-e-beqarari hai
jalwa phir arz-e-naz karta hai
roz-e-bazar-e-jansupari hai
phir usi bewafa pe marte hain
phir wahi zindagi hamari hai
phir khula hai dar-e-adalat-e-naz
garm bazar-e-faujdari hai
ho raha hai jahan mein andher
zulf ki phir sarishtadari hai
phir diya para-e-jigar ne sawal
ek fariyad-o-ah-o-zari hai
phir hue hain gawah-e-ishq talab
ashqbari ka hukmzari hai
dil-o-mizshgan ka jo muqadma tha
aj phir us ki rubqari hai
bekhudi besabab nahi 'Ghalib'
kuch to hai jis ki pardadari hai
phir mujhe dida-e-tar yad aya
dil jigar tashna-e-fariyad aya
dam liya tha na qayamat ne hanoz
phir tera waqt-e-safar yad aya
sadgi haye tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yad aya
uzr-e-wamandagi ae hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yad aya
zindagi yun bhi guzar hi jati
kyon tera rahguzar yad aya
kya hi rizwan se larai hogi
ghar tera khuld mein gar yad aya
ah wo jurrat-e-fariyad kahan
dil se tang ak jigar yad aya
phir tere kuche ko jata hai khayal
dil-e-gumgashta magar yad aya
koi wirani-si-wirani hai
dasht ko dekh k ghar yad aya
main ne majnun pe larkpan mein 'Asad'
sang uthaya tha k sar yad aya
rahiye ab aisi jagah chalkar jahan koi na ho
hamaukhan koi na ho aur hamzaban koi na ho
bedar-o-diwar sa ik ghar banaya chahye
koi hamsaya na ho aur pasban koi na ho
pariye gar bimar to koi na ho timardar
aur agar mar jaiye to nauhakhwan koi na ho
rone se aur ishq mein bebak ho gae
dhoe gae ham aise k bas pak ho gae
sarf-e-baha-e-mai hue alat-e-maikashi
the ye hi do hisab so yon pak ho gae
ruswa-e-dahar go hue awargi se tum
bare tabiyton k to chalak ho gae
kahta hai kaun nala-e-bulbul ko beasar
parde mein gul k lakh jigar chak ho gae
puche hai kya wajud-o-adam ahl-e-shauq ka
ap apni ag se khas-o-khashak ho gae
karne gaye the us se tagaful k ham gila
k ek hi nigah ki bas khak ho gae
is rang se uthai kal us ne 'Asad' ki nash
dushman bhi jis ko dekh ke gamnak ho
sab kahan kuch lala-o-gul mein numayan ho gain
khak mein kya suratein hongi k pinhan ho gain
yad thi hamko bhi ranga rang bazmaraiyan
lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisiyan ho gain
thin banatunnash-e-gardun din ko parde mein nihan
shab ko un k ji mein kya ai k uriyan ho gain
qaid mein yaqub ne li jo na yusuf ki khabar
lekin ankhein rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain
sab raqibon se hon nakhush, par zanan-e-misr se
hai zulaikha khush ke mahw-e-mah-e-kanan ho gain
ju-e-khun ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
main ye samjhunga k shamaen ho farozan ho gain
in parizadon se lenge khuld mein ham intaqam
qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain
nind usai hai, dima uska hai, ratein uski hain
teri zulfein jiske bazu par parishan ho gain
main chaman mein kya gaya, goya dabistan khul gaya
bul-bulein sun kar mere nale, gazalkhwan ho gain
wo nigahein kyun hui jati hain yarab dil k par
jo meri kotahi-e-qismat se mizshgan ho gain
bas k roka main ne aur sine mein ubhaen pai ba pai
meri ahen bakhiya-e-chak-e-gariban ho gain
wan gaya bhi main to unki galiyon ka kya jawab
yad thi jitni duain, sarf-e-darban ho gain
janfiza hai bara, jis k hath mein jam a gaya
sab lakirein hath ki goya rag-e-jan ho gain
ham muwahihad hain, hamara kesh hai tark-e-rusum
millatein jab mit gain, ajza-e-iman ho gain
ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj
mushkilein mujh par pari itni ke asan ho gain
yun hi gar rota raha 'Ghalib', to ae ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki wiran ho gain
sadagi par us ki mar jane ki hasrat dil main hai
bas nahin chalta k phir khanjar kaf-e-qatil main hai
dekhna taqrir ki lazzat ki jo usne kaha
main ne yah jana k goya yah bhi mere dil main hai
garche hai kis kis burai se wale ba in hama
zikr mera mujh se behtar hai k us mahfil main hai
bas hujum-e-na umidi khak main mil jayagi
yah jo ik lazzat hamari sai-e-behasil main hai
ranj-e-rah kyon khenchiye wamandagi ko ishq hai
uth nahin sakta hamara jo qadam manzil main hai
jalwa zar-e-atash-e-dozakh hamara dil sahi
fitna-e-shor-e-qayamat kis ki ab-o-gil main hai
hai dil-e-shorida-e-Galib tilism-e-pech-o-tab
raham kar apni tamanna par k kis mushkil main hai
ar gashtagi main alam-e-hasti se yas hai
taskin ko de nawed k marne ki as hai
leta nahin mere dil-e-awara ki khabar
ab tak wo janta hai k mere hi pas hai
kije bayan surur-e-tap-e-gam kahan talak
har mu mere badan pe zaban-e-sipas hai
hai wo gurur-e-husn se begana-e-wafa
har-chand us k pas dil-e-haq-shanas hai
pi jis qadar mile shab-e-mahtab main sharab
is balgami mizaj ko garmi hi ras hai
har yak makan ko hai makin se sharaf "Asad"
majnun jo mar gaya hai to jangal udas hai
shauq har rang raqib-e-sar-o-saman nikala
qais taswir k parde mein bhi uriyan nikla
zakhm ne dad na di tangi-e-dil ki yarab
tir bhi sina-e-bismil se parfshan nikla
bu-e-gul nala-e-dil dud-e-charag-e-mahfil
jo teri bazm se nikla so parishan nikla
dil-e-hasratzada tha maida-e-lazzat-e-dard
kam yaron ka beqadr-e-lab-o-zandan nikla
thi naumoz-e-fana himmat-e-dushwarpasand
sakht mushkil hai k ye kam bhi asan nikla
dil mein phir giriya ne ik shor uthaya 'Ghalib'
ah jo qatra na nikla tha so tufan nikla
urma-e-muft-e-nazar hun meri qimat ye hai
k rahe chashm-e-kharidar pe ehsan mera
rukhsat-e-nala mujhe de k mabada zalim
tere chehre se ho zahir gam-e-pinhan mera
taskin ko ham na roin jo zauq-e-nazar mile
huran-e-khuld mein teri surat magar mile
apni gali mein mujh ko na kar dafn bad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyon tera ghar mile
saqi gari k sharm karo aj warna ham
har shab piya hi karte hain mai jis qadar mile
tujh se to kuch kalm nahi lekin ae nadim
mera salam kahiyo agar namabar mile
tum ko bhi ham dikhain k majnun ne kya kiya
fursat kashakash-e-gam-e-pinhan se gar mile
lazim nahi k khizr ki ham pairwi karen
mana k ek buzurg hamein ham safar mile
ae saknan-e-kucha-e-dildar dekhna
tum ko kahin jo Ghalib-e-ashufta sar mile
tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
auron pe hai wo zulm k mujh par na hua tha
chora mah-e-nakhshab ki tarah dast-e-qaza ne
khurshid hanoz us k barabar na hua tha
taufiq ba andaz-e-himmat hai azal se
ankhon main hai wo qatra k gauhar na hua tha
jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka alam
main motaqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha
main sada dil azurdagi-e-yar se khush hun
yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha
dariya-e-maasi tunuk abhi se hua khushk
mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha
jari thi asad dag-e-jigar se mere tahsil
atashqada jagir-e-samandar na hua tha
us bazm mein mujhe nahi banti haya kiye
baitha raha agarche ishare hua kiye
dil hi to hai siyasat-e-darban se dar gaya
main ur jaun dar se tere bin sada kiye
rakhta phirun hun khirqa-o-sajda rahan-e-mai
muddat hui hai dawat-e-ab-o-hawa kiye
besarfa hi guzarti hai, ho garche umr-e-khizr
hazrt bhi kal kahenge k ham kya kiya kiye
maqadar ho to khak se puchun k ae laim
tune wo ganj haye giranmaya kya kiye
kis roz tou hamaten na tarsha kiye adu
kis din hamare sar pe na are chala kiye
sohbat mein gair ki na pari ho kahin ye khu
dene laga hai bose bagair iltija kiye
zid ki hai aur bat magar khu buri nahi
bhule se us ne saikaron wade-wafa kiye
'Ghalib' tumhin kaho k milega jawab kya
mana ki tum kaha kiye aur wo suna kiye
wo a k khwab mein taskin-e-iztirab to de
wale mujhe tapish-e-dil majal-e-khwab to de
kare hai qatl lagawat mein tera ro dena
teri tarah koi teg-e-nigah ko ab to de
di khak jumbash-e-lab hi tamam kar hamko
na de jo bosa to munh se kahin jawab to de
pila de oak se saqi jo hamse nafrat hai
pyala gar nahi deta na de, sharab to de
'Asad' khushi se mere hath paon phul gae
kaha jo us ne zara mere paon dab to de
wo firaq aur wo wisal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan
fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazara-e-jamal kahan
dil to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan
thi wo ik shakhs k tasawur se
ab wo ranai-e-khayal kahan
aisa asan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan
hamse chuta qomarkhana-e-ishq
wan jo jayen girah mein mal kahan
fikr-e-dunya mein sar khpata hun
main kahan aur ye wabal kahan
muzmahil ho gaye quwe 'Ghalib'
wo anasir mein aitadal kahan
ye jo ham hijr mein diwar-o-dar ko dekhte hain
kabhi saba ko kabhi namabar ko dekhte hain
wo aye ghar mein hamare Khuda ki kudrat hai
kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain
nazar lage na kahin us k dast-o-bazu ko
ye log kyon mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain
tere jawahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhen
ham auj-e-tala-e-lal-o-guhar ko dekhte hain
ye na thi hamari qismat k wisal-e-yar hota
agar aur jite rahte yahi intzar hota
tere wade par jiye ham to ye jan jhuth jana
k khushi se mar na jate agar aitbar hota
teri nazuki se jana k bandha tha ahdboda
kabhi tu na tor sakta agar ustawar hota
koi mere dil se puche tere tir-e-nimakash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar k par hota
ye kahan ki dosti hai k bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gamgusar hota
rag-e-sang se tapakta wo lahu k phir na thamta
jise gam samajh rahe ho ye agar sharar hota
gam agarche jangusil hai, pe kahan bachen k dil hai
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozgar hota
kahun kis se main k kya hai, shab-e-gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota
hue mar k ham jo ruswa, hue kyon na garq-e-dariya
na kabhi janaza uthta, na kahin mazar hota
use kiun dekh sakta ki yagana hai wo yakta
jo dui ki bu bhi hoti to kahin do char hota
ye masail-e-tasawuf, ye tera bayan 'Ghalib'
tujhe ham wali samajhte, jo na badkhwar hota
zikr us pariwish ka, aur phir bayan apna
ban gaya raqib akhir tha jo razdan apna
mai wo kyon bahut pite bazm-e-gair mein yarab
aj hi hua manzur un ko imtihan apna
manzar ik bulandi par aur ham bana sakte
arsh se idhar hota kash k makan apna
de wo jis qadar zillat ham hansi mein talenge
bare ashna nikla unka pasban apna
dard-e-dil likhun kab tak? Jaun un ko dikhla dun
ungliyan figar apni khamakhunchakan apna
ghiste ghiste mit jata ap ne abas badla
nang-e-sajda se mere sang-e-astan apna
ta kare na gamazi, kar liya hai dushman ko
dost ki shikayat mein ham ne ham-zaban apna
ham kahan k dana the kis hunar mein yakta the
besabab hua 'Ghalib' dushman asman apna
ulmatkade mein mere shab-e-gam ka josh hai
ik shamma hai dalil-e-sahar, so khamosh hai
na muzda-e-wisal na nazara-e-jamal
muddat hui k ashti-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiya hai husn-e-khudara ko behijab
ae shauq yan ijazat-e-taslim-e-hosh hai
gauhar ko ikd-e-gardan-e-khuban mein dekhna
kya auj par sitara-e-gauharfarosh hai
didar, wada, hosla, saqi, nigah-e-mast
bazm-e-khayal maikada-e-bekharosh hai
ae taza waridan-e-bisat-e-hawa-e-dil
zinhar gar tumhen hawas-e-nao-nosh hai
dekho mujhe jo dida-e-ibaratnigah ho
meri suno jo gosh-e-nasihat niyosh hai
saqi bajalwa dushman-e-iman-o-agahi
mutarib banagma rahzan-e-tamkin-o-hosh hai
ya shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisat
daman-e-bagban-o-kaf-e-gulfarosh hai
lutf-e-khiram-e-saqi-o-zauq-e-sada-e-chang
ye jannat-e-nigah wo firdus-e-gosh hai
ya subh dam jo dekhiye akar to bazm mein
na wo surur-o-soz na josh-o-khrosh hai
dag-e-firaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui
ik shamma rah gai hai so wo bhi khamosh hai
ate hain gaib se ye mazamin khayal mein
'Ghalib', sarir-e-khama nawa-e-sarosh hai
Dr Danish
09-12-2015, 01:23 AM
Umda intekhab
Khoobsurat Sharing:Annoucemnet:
Powered by Raja Imran® Version 4.2.2 Copyright © 2025 vBulletin Solutions, Inc. All rights reserved.