Log in

View Full Version : Manzilen na bhoolenge raah-rau bhatakne se



Ubaid
11-26-2017, 04:33 PM
Manzilen na bhoolenge raah-rau bhatakne se
shauq ko taalluq hi kab hai paanv thakne se.

Zindagi ke rishte bhi door door tak nikle
rooh jaag uthti hai phool ke mahakne se.

Kitne teer khaaye hain kitne ghum uthaye hain
baaz hi nahin aata dil magar dhadakne se.

Ek saaghar-e labrez aur soorat-e suqrat
jaavedaan nahin hote sirf zehar chakhne se.

kaar-e aashiyaan-bandi aur ho gaya mahboob
jauhar-e talab chamka bijliyaan kadakne se.

Garm ho ke pachhtaaye baad-e tund ke jhonke
roshni charaghon ki badh gayi bhadakne se.

Aey ‘Adeeb-e purgoi farz toh nahin koi
kya badi hai khamoshi ol-fol bakne se .!!

Ubaid
11-26-2017, 04:33 PM
@BDunc (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=3); @Aliza (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=913); @Jelly Bean (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=826); @intelligent086 (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=61); @Ainee (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=78); @CaLmInG MeLoDy (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=1); @Moona (http://www.urdutehzeb.com/member.php?u=758);

BDunc
11-26-2017, 06:25 PM
Bht khoob

Moona
11-27-2017, 01:33 AM
Nice Sharing

:Nice:


t4s

intelligent086
12-01-2017, 04:10 AM
Ubaid ( Aliza)Thanks 4 Beautiful Peotry

Aliza
12-05-2017, 10:01 PM
Bohat khoob