Aliza
11-23-2017, 05:33 PM
Kab talak shama jali yaad nahin,
shaam-e-ghum kaise dhali yaad nahin.
Iss qadar yaad hai apne the sabhi,
kis ne kya chaal chali yaad nahin.
Hum zamane mein kuchh aise bhatke,
ab toh un ki bhi gali yaad nahin.
Abr tha jaam tha par aap na the,
woh ghadi kaise tali yaad nahin.
Kat gayi umar kisi tarah ‘qateel
woh buri thi ki bhali yaad nahin. !!
shaam-e-ghum kaise dhali yaad nahin.
Iss qadar yaad hai apne the sabhi,
kis ne kya chaal chali yaad nahin.
Hum zamane mein kuchh aise bhatke,
ab toh un ki bhi gali yaad nahin.
Abr tha jaam tha par aap na the,
woh ghadi kaise tali yaad nahin.
Kat gayi umar kisi tarah ‘qateel
woh buri thi ki bhali yaad nahin. !!