Aliza
11-23-2017, 05:30 PM
Likh diya apne dar pe kisi ne iss jagah pyar karna mana hai,
pyar agar ho bhi jaaye kisi ko iss ka izhaar karna mana hai.
Un ki mehfil mein jab koi aaye pehle nazaren woh apni jhukaaye,
woh sanam jo khuda ban gaye hain un ka deedar karna mana hai.
Jaag uthenge toh aahen bharenge husn waalon ko ruswa karenge,
so gaye hain jo furkat ke maare un ko bedaar karna mana hai.
Hum ne ki arz-e banda-parwar kyon sitam dha rahe ho hum par,
baat sun kar woh humari bole hum se taqraar karna mana hai.
Saamne jo khula hai jharokha kha na jaana ‘qateel uss ka dhokha,
ab bhi apne liye uss gali mein shuak-e-deedar karna mana hai. !!