Aliza
11-23-2017, 05:29 PM
Tumhari anjuman se uth ke deewaane kahan jaate,
jo waabasta hue tum se woh afsaane kahan jaate.
Nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na maikhaana,
toh thukraaye hue insaan khuda jaane kahan jaate.
Tumhari berukhi ne laaj rakh li baada-khaane ki,
tum aankhon se pila dete toh paimaane kahan jaate.
Chalo achchha hua kaam aa gayi deewaangi apni,
wagarna hum zamaane bhar ko samjhaane kahan jaate.
Qateel’ apna muqaddar ghum se begaana agar hota,
toh phir apne paraaye hum se pahchaane kahan jaate. !!