Aliza
11-22-2017, 09:57 PM
Sabhi jazbaat khyaalaat badal jaate hain,
yun mohabbat mein ye din raat badal jaate hain.
Pyaar toh un ko bhi hum se hai magar jaane kyon,
hum karen baat toh woh baat badal jaate hain.
Aarzoo toh hai ki izhaar-e-mohabbat kar dun,
lafz chunta hun toh lamhaat badal jaate hain.
Kitni nafrat thi kabhi pehle mohabbat se humein.
ho mohabbat toh khyaalaat badal jaate hain.
Ek sa waqt mohabbat mein kahan rehta hai,
gardish-e-waqt se haalaat badal jaate hain. !!