PDA

View Full Version : Ek khalish ko



Aliza
11-22-2017, 09:47 PM
Ek khalish ko haasil-e umar-e rawan rahne diya
jaan kar humne unhen na-mehrbaan rahne diya.

Aarzoo-e qurb bhi bakhshi dilon ko ishq ne
faasla bhi mere unke darmiyaan rahne diya.

Kitni deewaron ke saaye haath phailaate rahe
ishq ne lekin humen be-khanuman rahne diya.

Apne apne hausle apni talab ki baat hai
chun liya humne tumhen saara jahaan rahne diya.

Kaun is tarz-e jafa-e aasmaan ki daad de
baagh saara phoonk daala aashiyaan rahne diya.

Ye bhi kya jeene mein jeena hai baghair un ke ‘Adeeb
shama gul kar di gayi baaqi dhuaan rahne diya .!!

Aliza
11-22-2017, 09:47 PM
BDunc; Jelly Bean; intelligent086; Aseer e Wafa; @_Alex_; Ainee; CaLmInG MeLoDy; Veedoo; Ubaid; Hania Shah; sehrish2134;

Ubaid
11-22-2017, 09:50 PM
Boht Umda Aliza;

Ubaid
11-22-2017, 09:51 PM
Jo Nazron Se Tum Mere Dil Ko Nidhal Karte Ho
Karte To Zulm Ho Sahib Magar Kamal Karte Ho..
Aliza;

Aliza
11-22-2017, 09:52 PM
Boht Umda Aliza;

Shukriya ji

Aliza
11-22-2017, 09:52 PM
Jo Nazron Se Tum Mere Dil Ko Nidhal Karte Ho
Karte To Zulm Ho Sahib Magar Kamal Karte Ho..
Aliza;

Wah zabardast hai ye to

Moona
11-23-2017, 01:22 AM
Nice Sharing
t4srunning

intelligent086
11-23-2017, 04:41 AM
Aliza

Thanks 4 Beautiful sharing

Aliza
11-23-2017, 02:49 PM
Nice Sharing
t4srunning

Thank u moona ji

Aliza
11-23-2017, 02:49 PM
Aliza

Thanks 4 Beautiful sharing


Welcome ji