PDA

View Full Version : Main kab kehta hun



Aliza
11-09-2017, 06:52 PM
Main kab kehta hun woh acchha bahut hai,
magar uss ne mujhe chaaha bahut hai.

Khuda iss shehar ko mehfooz rakhe,
ye bachchon ki tarah hansta bahut hai.

Main tujh se roz milna chaahta hun,
magar iss raah mein khatra bahut hai.

Mera dil baarishon mein phool jaisa,
ye bachcha raat mein rota bahut hai.

Isey aansoo ka ek qatra na samjho,
kuaan hai aur ye gehra bahut hai.

Usey shohrat ne tanha kar diya hai
Samandar hai magar pyaasa bahut hai

Main ek lamhe mein sadiyaan dekhta hun,
tumhaare saath ek lamha bahut hai.

Mera hansna zaroori ho gaya hai,
yahan har shakhs sanjeeda bahut hai. !!

Aliza
11-09-2017, 06:52 PM
BDunc; Jelly Bean; intelligent086; Aseer e Wafa; _Alex_; Ainee;

BDunc
11-09-2017, 06:53 PM
Umda

Admin
11-09-2017, 06:54 PM
Main ek lamhe mein sadiyaan dekhta hun,
tumhaare saath ek lamha bahut hai.

bht e aala

Aliza
11-09-2017, 06:55 PM
Umda

Shukriyabhaiya

Aliza
11-09-2017, 06:56 PM
Main ek lamhe mein sadiyaan dekhta hun,
tumhaare saath ek lamha bahut hai.

bht e aala

Shukriya ji

BDunc
11-09-2017, 06:57 PM
Most welcome

Aliza
11-09-2017, 06:59 PM
Most welcome

Aur is section me post karu

intelligent086
11-10-2017, 01:56 AM
Aliza
Umda intekhab
Thanks 4 sharing

Aliza
11-10-2017, 02:54 AM
Aliza
Umda intekhab
Thanks 4 sharing


Shukriya ji

Moona
11-26-2017, 12:48 AM
Nice Sharing
running

t4s

Aliza
11-26-2017, 01:59 AM
Thanks