PDA

View Full Version : Kitne gham the jo tere gham k bahane nikle



Aliza
11-08-2017, 09:48 PM
Chaand ke saath kayi dard puraane nikle,
kitne ghum the jo tere ghum ke bahaane nikle.

Fasl-e gul aayi phir ik baar asiraan-e-wafa,
apne hi khoon ke dariya mein nahaane nikle.

Hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai,
dil ki befaiz zameenon se khazaane nikle.

Umar guzri hai shab-e-taar mein aankhein malte,
kis ufaaq se mera khursheed na jaane nikle.

Ku-e-qaatil mein chale jaise shaheedon ka juloos,
khwaab yun bheegti aankhon ko sajaane nikle.

Dil ne ek eent se taameer kiya taj-mahal,
tune ek baat kahi laakh fasaane nikle.

Dasht-e tanhaai-e-hijraan mein khada sochta hun,
haaye kya log mera saath nibhaane nikle.

Maine ‘amjad’ usey bewaasta dekha hi nahin,
woh toh khushboo mein bhi aahat ke bahaane nikle. !!

–Amjad Islam Amjad

Aliza
11-08-2017, 09:48 PM
BDunc; Jelly Bean; intelligent086; Aseer e Wafa; _Alex_;

BDunc
11-08-2017, 11:39 PM
Bht khoob

intelligent086
11-09-2017, 12:47 AM
عمدہ اور خوب صورت
شیئر کرنے کا شکریہ

Aliza
11-09-2017, 04:03 AM
Bht khoob

Shukriya bhaiya

Aliza
11-09-2017, 04:03 AM
عمدہ اور خوب صورت
شیئر کرنے کا شکریہ


Shukriya ji

BDunc
11-09-2017, 01:00 PM
Welcome

Aliza
11-09-2017, 06:39 PM
Welcome

Ap bhi kuch share kare

BDunc
11-09-2017, 06:40 PM
Yes behnoo I will..rite now posted other threads :)

Aliza
11-09-2017, 06:44 PM
Yes behnoo I will..rite now posted other threads :)

K ji.. mjhe to an bht sare kaam hai yaha complete karne k

Moona
11-26-2017, 01:00 AM
Nice Sharing
running

t4s

Aliza
11-26-2017, 01:52 AM
Thank u ji