Log in

View Full Version : Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota



intelligent086
12-02-2015, 01:43 AM
Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota


na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main
koi gair gair hota koi yar yar hota


ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti
na tumhen qarar hota na hamain qarar hota


tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

Moona
12-19-2017, 11:39 PM
Nyc Sharing
:Nice:
t4s