Log in

View Full Version : gam raha jab tak k dam main dam raha



intelligent086
11-28-2015, 11:14 AM
gam raha jab tak k dam main dam raha
dil k jane ka nihayat gam raha

husn tha tera bahot alam fareb
khat k ane par bhi ik alam raha

mere rone ki haqiqat jis main thi
ek muddat tak wo kagaz nam raha

jama-e-eharam-e-zahid par na ja
tha haram main lekin na-mahram raha