CaLmInG MeLoDy
08-11-2015, 11:35 PM
السلام علیکم
میری یہ تحریر کافی وقت پہلے کی ہے۔ جب میں اردو ٹائپنگ نہیں جانتی تھی۔
ho gar hath main insan ke toh zabt kar le doosre insan ki zindagi, mout, hansi , khushi, khuahishaat...kion ke insan main unsar paaya jata hai badla lene ka..tamasha daikhne ka...magar ye ALLAH ki inaayat hai ke ALLAH ne insan ki taqdeer ka faisla kisi insan ke hath main nahi rakha..warna har insan doosre insan ki zindagi cheen leta..khushi cheen leta...zara zara baat pe rizq band kar deta..zara zara bat pe zindagi tang kar deta..ye toh shaan hai ALLAH PAAK ki ke insan ki taqdeer ka malik khud ALLAH PAAK ki zaat mubarak hai..warna insan toh khata ka putla hai..kabhi namaz nahi parhta..kabhi zakaat nahi deta..kabhi laalach karta hai.kabhi dhoka deta hai..kabhi khud garz ho jata hai.kabhi be zarf ho jata hai..magar ALLAH ki zaat aisi hai jo aise insan ki na toh zindagi tang hone deti hai.na hi badla leta hai..agar ye sab hota insan ke hath main toh khata karne ki dair thi sab asaaishain jo insan ne insan ko nawazi hoti cheen leta.mehroom ho jata.baat sirf zarf ki hai.aur zarf aadmi ka aalaa hona chahiye.na ke ab tar..zindagi mout toh bari baatain hain.ham toh shayad aik glass paani pilaane ka zarf bhi nahi rakhte.
daikhne main aaya hai ke aik hi ghar main rehte hue do bhaaiyoun ki families aik doosre se khane peene ki kharche paani ki cheezain chupa lete hain ya share toh kar lete hain magar faraakh dili ke sath nahi.aur ye hi aalam aik aam insan ka doosre insan ke sath hai..aik baat kisi ki buri kya lag jati hai naata tor dia jata hai..rishte bhoolne par jate hain.ye aalam hai ke maan baap tak se aulad takya kar leti hai.mujhe lagta hai ye hi aik waja hogi jo ALLAH paak ne aik insan ko doosre insan ka malik nahi banaya.warna har malik saza deta.har malik mout deta .aur har malik doosre ke liye tang dili ki muzahira karta.main apne ALLAH paak ki bohot bohot shukar guzaar hoon ke zindagi. rizq. aqal. fehem. taqdeer sab ALLAH ki raza se tae paati hai. warna insan kuch bhi kar sakta tha.