Miss You
04-23-2015, 07:10 PM
Abhi to jazbat naram honton ki aut mein
Guftagu k sanchay mein dhal rahy thy
Sargoshiyon mein gum thy abhi to hum
Abhi to jazbay machal rahy thy
Abhi to dil pighal rahy thy
Abhi falak se bhi rishtay pukhta nahi hoye thy
Abhi to urran mein thi
Abhi to pehle jahan mein thi
Abhi zamany ko apni nazar se takna tha hum ko
Abhi to badal umad rahy thy muhabbaton k
Sadaqton k
Aqeedaton k
Abhi to naqshay sanwar rahy thy
Abhi hawaein thami hoe theen
Abhi ghonslay bikharny k din nahi thy
To maan le na..........
Ye tere bicharny k din nahi thy
Tu essay bichra k sara mausam
Udaas lamhon ki sazishon mein ghir gye hain
Hamary jazbaat mar gye hain
Tu essay bichra
Bahar rut bhi khizan jesi lagi hai
Abhi to gulshan mein phool khushboo ko hat bandhay
Yekeh rahy hain
Ye apny khilnay k din thy lekin
Hamein khizan k hath becha gya hai kyun ker?
Suno meri jaan!
Ye essa karny k din nahi thy
Abhi bicharny k din nahi thy
Guftagu k sanchay mein dhal rahy thy
Sargoshiyon mein gum thy abhi to hum
Abhi to jazbay machal rahy thy
Abhi to dil pighal rahy thy
Abhi falak se bhi rishtay pukhta nahi hoye thy
Abhi to urran mein thi
Abhi to pehle jahan mein thi
Abhi zamany ko apni nazar se takna tha hum ko
Abhi to badal umad rahy thy muhabbaton k
Sadaqton k
Aqeedaton k
Abhi to naqshay sanwar rahy thy
Abhi hawaein thami hoe theen
Abhi ghonslay bikharny k din nahi thy
To maan le na..........
Ye tere bicharny k din nahi thy
Tu essay bichra k sara mausam
Udaas lamhon ki sazishon mein ghir gye hain
Hamary jazbaat mar gye hain
Tu essay bichra
Bahar rut bhi khizan jesi lagi hai
Abhi to gulshan mein phool khushboo ko hat bandhay
Yekeh rahy hain
Ye apny khilnay k din thy lekin
Hamein khizan k hath becha gya hai kyun ker?
Suno meri jaan!
Ye essa karny k din nahi thy
Abhi bicharny k din nahi thy