Log in

View Full Version : ghazal: ZAkhm per chidkene kahan tifiaan-e-parwa namak." Mirza Ghalib "



Ram Mohan
12-13-2014, 04:08 PM
Zakhm par chhidken kahan tiflaan-e-be-parwa namak,
kya maza hota agar patthar mein bhi hota namak.

Mujh ko arzaani rahe tujh ko mubaarak ho jyun,
naala-e-bulbul ka dard aur khanda-e-gul ka namak.

Shor-e-jaulaan tha kanaar-e-bahr par kis ka ki aaj,
gard-e-saahil hai ba-zakhm-e-mauja-e-dariya namak.

Daad deta hai mere zakhm-e-jigar ki waah waah,
yaad karta hai mujhe dekhe hai woh jis ja namak.

Chhod kar jaana tan-e-majrooh-e-aashiq haif hai,
dil talab karta hai zakhm aur maange hain aaza namak.

Yaad hain ‘ghalib’ tujhe woh din ki wajd-e-zauq mein,
zakhm se girta toh main palkon se chunta tha namak. !!