View Full Version : My Some Poetry
singer_zuhaib
11-27-2014, 08:38 PM
Tanhaee
es tanhaee mai pal raha hoon
yai kessai aag hai jis mai jal raha hon
meri rooh muj say juda ho gaee
talash mai us k mai yahaan wahaan batak raha hoon
joun joun kadam barha raha hoon
zindagee say dour say dour ja raha hoon
manzil kaheen aur hai ,raasta kaheen aur hai
aur na janay mai kahaan say kahaan ja raha hoon
meri kashty hai koch tooty phooty
aur mai es mai dobta he ja raha hoon
tuj say mil kar bhe mai tanha hoon
na janay es tanhaee mai kahaan ja raha hoon
singer_zuhaib
11-27-2014, 08:38 PM
saansay
teri sansoo say mai je raha hoon
teri ankhoon mai pi raha hoon
es chahat mai kia nasha hai
mai kiu dooobta he ja raha hoon
ahista ahista kadam barh rahay hain
mai teray pass paas aa raha hoon
mai ji na paoon ga tere bin kabi bi
yahee sada diay ja raha hoon
sadiaan beet gaee hon jessay tuj say milay
aaj pir tere pass mai aa raha hoon
singer_zuhaib
11-27-2014, 08:39 PM
zindagee ka daria
Khoshiyon ka daria zindgani mai rawaan tha
tum nay youn achanak daria mai utarna chaha tha
es say pahlay bhe toufaan aatay thay mujh mai
tum nay es toufaan ko rokna chaha tha
utaar tu kabi charhaoo mujh mai aatay rahay
tum nay assay jal thal karna chaha tha
tum say pahlay bhe aey meri zindgi mai koch log
magar tum nay sab ko peechay chur dena chaha tha
samjana tu bohat chaha tha mai nay tum ko
magar tum nay muje samjana chaha tha
samaj ,samaj kar bhi na samaj paey tum hum ko
mai nay kab kiu kar yai chaha tha.
singer_zuhaib
11-27-2014, 08:39 PM
zindagee k moor
zindagee mai kessay kessay moor aatay hain
k apnay paraey ,paraey apna ban jatay hain
souch ki aaghosh mai kho sa jata hon mai aksar
jab loog mere zehan mai koi naksh chur jate hain
khoshiyan tu behtay daria ki manind hain
tu kiu loog es daria mai pather uchaal jatay hain
rishtay ka pass lehaaz kab kis nay kia
apnay he aksar beech raastay chur jatay hain
tu nay kia seekha es donia say aey zuhaib
hota hoon [ mai ] koch aur loog koch aur samaj jatay hain
singer_zuhaib
11-27-2014, 08:40 PM
ahsaa saat
pal mai ahsa saat dhuwaan ban kar ur jatay hain
pal mai apnay kiuo paraey ban jatay hain
mazi kis ka kiya hai,us ka kuda janay
janay kiuo loog kuda ban jatay hain
shahista kalami tu paisha hai mera
jawab mai vo es kader kiuo gustakh ban jatay hain
tuj say nafrat bhi meri chahat ki ik adda hai
tere liyai hum na janay kia say kiya ban jatay hain
zindagee ka hasil aaj tak na samaj paey hum
kiu daria samander,samander daria ban jatay hain
muhabbat ka dosra naam samjhoota hai yai jana hai
aey zuhaib pir kiu hum do say aik ban jatay hain
singer_zuhaib
11-27-2014, 08:41 PM
ye bas muje jo samajh aya mene likh dia na to mai shair ho na he shairy ki itni samajh booj hai bas ehsaasaat or jazbaat ko tehreeri shakal de di jinhe aaj bhi parh k mai osi lamha or osi pal mai osi waqt mai khoo jata hon jab mene ye kabi kisi jazbaat or ehsasaat mai likhi thi.
BDunc
01-15-2015, 01:40 PM
Great
Powered by Raja Imran® Version 4.2.2 Copyright © 2025 vBulletin Solutions, Inc. All rights reserved.