zaraa dekh kar apanaa jalwaa dikhaana
simaT kar yahiin aa na jaaye zamaanaa
zubaaN par lagii hain wafaaon ki muhare.n
Khamoshii merii kah rahii hai fasanaa
gulon tak lagaayii to aasaaN hai lekin
hai dushwaar kaaNTon se daaman bachaanaa
karo laakh tum maatam-e-naujavaanii
par 'mir' ab nahiin aayegaa woh zamaanaa



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out
Reply With Quote







Bookmarks