Abhi iss taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanwaar lun,
mera lafz lafz ho aaina, tujhe aine mein utaar lun.
Main tamaam din ka thaka hua, tu tamaam shab ka jaaga hua
zara thehar ja isi mod par tere saath shaam guzaar lun.
Agar aasman ki numaaishon mein mujhe bhi izn-e qayaam ho,
toh main motiyon ki dukaan se teri baaliyan, tere haar lun.
Kahin aur baant de shohraten, kahin aur bakhsh de izzaten
mere paas hai mera aaina, main kabhi na gard-o ghubaar lun.
Kayi ajnabi teri raah mein mere paas se yun guzar gaye,
jinhe dekh kar ye tadap hui, tera naam le ke pukaar lun. !!
–Bashir Badr



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out
Reply With Quote




Bookmarks