Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay, yehi intezaar hota
Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhooT jana
K khushi se mar na jaate!!! agar intezaar hotaKoi mere dil se poochhe, tere teer E neem kash ko
Yeh khalish kahaaN se hoti, jo jigar k paar hotaYeh kahaaN ki dosti hai K bane haiN dost naaseh
Koi chaaraa saaz hota koi Ghamghusaar hotaKahuN kis se maiN K kya hai shab E Gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marnaa agar aik baar hotaHue mar K ham jo ruswa hue kyuN ka Gharq E dariya
Na kabhi janazaa uthta na kahiN mazaar hotaYeh masaael E tasavvuf, yeh tera bayaan ‘Ghalib’
Tujhe ham wali samajhte Jo na baadaakhaar hota
Similar Threads:



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out

Reply With Quote


Bookmarks