Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye
baadal ko kya khabar ke barish ki chah mainkitne buland-o-bala shajar khaak ho gayejugnu ko din ke waqt pakarne ki zid karenbache hamare ahad ke chalak ho gayelahra rahi hai barf ki chadar hata ke ghassuraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye
suraj dimag log bhi iblag-e-fikr mainzulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gayejab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu huilahaje hawa-e-sham ke namnak ho gayesahil pe jitne aab_guzida the sab ke sabdariya ke rukh badalte hi tairak ho gayeBy: Parveen Shakir



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out



Bookmarks