Is qadar musalsal thi'n shidaten judai ki
Aj pehli bar main ne us sa bewafai kiWarna ab talak yun tha khwahishon ki barish main
Ya to toot kar roya ya gazal sarai kiTaj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main
Aj un se majburan taza ashanai kiHo chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
Tune kis ghari zalim meri hamnawai kiTanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k
Ap se koi pochy hum ne kya burai ki
Phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
Dekhna urha dega phir khabar rihayi ki
Ahmad Faraz
Bookmarks