Ma sha ALLAH sy aap k bary me jan kr aacha lga..
Koi baat nahi aap jitna btana chahey hum utna e sun laien gy, aur hath bhi hola e rakhien gy..:d
Ma sha ALLAH sy aap ny choti umer sy he Islam ko smjhna shoro kr dia, aur By shak tarbiet ka bht asar jo aap ko bachpan me qissy aur waqiyat suny gy, unhi baron ki mehrbani sy hai ALHAMDULILLAH..
Haan ji to kriey start phr chnging Islam section me aap ka apna section hai..
Es me sb section bna dety haien "Histroy of Islam" phr aagy mazeed sub sections bhi bnay ja skty, Anbiya Karam k name sy, Sahaba Karam aur jis trha aap chahey?
Islam aur Science ka aps me kitna gehra talluaq hai??
Jo chezien ya ilm hamien 1400 saal pehly Islam ny dia, ab Science reserch kr k hamien wohi btati, aap es baat ko elebrote krna pasand krein ge?
Quran "Kalam ALLAH" hai No doubt, to aap kuch btana chahey ge es hawly sy apna personal tajurba?
Bookmarks