A watan k sajelay siyasat danon
Sarai Raqbay tumharai liye hain

Kothio k talabgar ho tum
Flato k paristar ho tum

O zalalat ki zinda misalon
Sarai qarzai tumharai liye hain

Tum hi sai qayem bajat ka ka khasara
Lahoo pi lo gharebon ka sara

A matlab k zinda nishanon
Sarai funds tumharai liye hai

A pak watan k ghaddaron
O america k wafadaron

Ye jitni bhi hai is jahan mai
Sari laanatain tumharai liye hai