Baat se baat ki gehraai chali jaati hai
jhooth aa jaaye toh sachchaai chali jaati hai.
Raat bhar jaagte rahne ka amal theek nahin
chaand ke ishq mein binaai chali jaati hai.
Maine is shehar ko dekha bhi nahin jee bhar ke
aur tabiyat hai ki ghabraai chali jaati hai.
Kuchh dinon ke liye manzar se agar hat jaao
zindagi bhar ki shanasaai chali jaati hai.
Pyaar ke geet hawaaon mein sune jaate hain
daF bajaati hui ruswaai chali jaati hai.
Chhap se girti hai koi cheez ruke paani mein
door tak phaTti hui kaai chali jaati hai.
Mast karti hai mujhe apne lahoo ki khushboo
zakhm sab khol ke purvaai chali jaati hai.
Dar-o deewaar pe chehre se ubhar aate hain
jism banti hui tanhaai chali jaati hai. !!



Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out
Reply With Quote

Bookmarks