jii chaahta hai, kisne kahaa, mat Khariidiye
daulat se husn, husn se daulat Khariidiye
kuchh log jii rahe haiN sharaafat ko bech kar
thoRhii-bahut unhiiN se sharaafat Khariidiye
phaila hai kaaro_baar-e-muravvat, so aap bhii
sab kii tarah kisii kii zaroorat Khariidiye
apnii pasaNd apne muqaddar kii baat hai
sub'h-e-azal se shaam-e-qayaamat Khariidiye
gahraaiyoN kii fikr meN kyoN mubtala haiN aap
likhiye Ghazal avaam pe, shoharat Khariidiye
kahte haiN jisko she'r duaa ka muqaam hai
rusvaaiyaaN kamaaiye, ibrat Khariidiye
aaNkheN rahiiN to raNg bahut, roshanii bahut
ab ho sake to parda-e-Ghaflat Khariidiye
kyoN aap sharm_saar haiN apne vujood se
sach boliye, jahaaN kii adaavat Khariidiye
duniya ke rog jheliye kamre meN baiTh kar
khiRhkii ke paas jaaiye, hasrat Khariidiye
umr-e-aziiz, waqt nahiiN mol-tol kaa
baazaar uTh chuka, ajii hazrat, Khariidiye
be_raNg hai hikaayat-e-khoon-e-jigar ''KhizaaN''
khoon-e-jigar se raNg kii qiimat Khariidiye
Mahboob ''KhizaaN
Similar Threads:
Bookmarks