SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 6 of 6

    Thread: Sawal : Roohani Amraaz me marez ka naam, waldah ka naam, aur address

    1. #1
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 Shazli's Avatar
      Join Date
      Sep 2014
      Posts
      106
      Threads
      20
      Thanks
      0
      Thanked 0 Times in 0 Posts
      Mentioned
      2 Post(s)
      Tagged
      2460 Thread(s)
      Rep Power
      19

      Sawal : Roohani Amraaz me marez ka naam, waldah ka naam, aur address

      Sawal : Roohani Amraaz me marez ka naam, waldah ka naam, aur address kitna zoroori hota he?

      her kaam ka tareeqa hota he. aur kisi kaam ko, oske tareeqy ko samjh ke kerna aur oska ilm hasil kerna hi aap ko kamal ke darje per pohanchata he.
      Hazrat Ali ra ka qoul he ke jis ka mafhoom he ke jis kaam ko aap nahi jante aur karne ka iradah karo tu sab se pahly oska poora poora ilm hasil karo. yahan tak ke osko apna orhna bichona bana lo tab ta je aap ko ilm, tareeqa aur kamal hasil hota he.

      kabhi Dr. se ilaaj ke bar me aap ke zahan me ye khayal aya ke bukhar he thermo meter se hi check kerna kafi hota he, mager nahi woh blood test, urine test aur najane kia kia tareeqa ikhtiyaar kerta he marz ko jannae aur iska sahih ilaaj kerne ke liye. os ke baad bhi kabhi imaeez bilkul theek ho jata he, kabhi juzwi aur kabhi koi farq nahi perta balke ulta marz barh jata he.
      tu sab aakhir kion kerta he? na koi sawal kerta aur ker bhi ley tu Dr. acha ho tu tassali ke liye jawab de deta he aur akser bura maan jata he. aur awam ka bharosa Dr. ke tajurbe per hota he.

      halank ke bukhar ke liye Paracetamol bhi kafi he. jesa ke akser awaam samjhti he ke roohani ilaj ke liye ayat/wazifa hi kafi hota he, quran ya kisi oraad o wazaif ki kitab dekh ker liyla jay.
      ye sab kum ilmi ki batian hian, ek parhe likhe insaan ko es tarah ki baat zaib nahi deti.
      Roohani ilaaj ke muamle me hamary han her insaan expert bana howa he aur ek dosre ko phoonkain marne ke liye her waqt tayyar rehta he. ye bohat bari aur sangeen ghalati he. es me aihtiyaat jismaani ilaaj se bhi ziadha he kion ke jismani ilaaj me ager kuch ghalat ho gaya tu mareez ko takleef ho gi, lakin roohani ilaaj me mareez aur so called gharelo totkoon aur kitaabi amiloon ki halat bhi ghair hogi, Jaan tak jany ka khatra hota he.


      ayaat aur wazaif aapko bohat mil jain ge kitab me bhi aur internet per bhi. aur ek marz ke kai kai ilaaj mil jian ge. kerne ko aap unko bhi ikhteyaar ker sakti hain.
      lakin jab aap kisi roohani moalij yani hum se rabta ker rahy hote hian tu hamari zimehdari hoti he ke sab se pehle marz ki theek theek tashkhees ho. diagonose ke baad hi mareez ka ilaj ho sakta he.
      ye jinnat, mowaklaat ki dunya he. Jis tarah Dr. keliye zoroori nahi ke who construction janta ho, osi bary bary Ulama es field me maharat nahi rakhte. Tu batain aam insaan ki kia haisiyat. Aaj ke dour me ager Allah pak ne Naqshbandi shazlioon ko khara kia he tu es ka aik matlab ye bhi he ke amaliyaat ki field ki kaat peet ker ke osey jaali aur mo bole aamilieen balke jadugaroon se pak kia jay. awam ki haqiqi manoon me khidmat ki jay aur gumrahi se bachaya jay.

      kisi ka imaan tawez per he kisi ka dhagoon per, koi manat manta he koi chadar charhata he, en sab amaal ko shirk o biddat se pak ker ke haqaiq samne lain jain aur awam ko samjhaya jay sahih aur ghalat kia he.
      tawez ki haisyat kia he eska usage kia he. dhage kahan use hote hian, manat manne ka tareeqa kai he, mazaraat per hazri kia maqsad ki hona chiahiye.

      khari baat taweel hoti ja rahi he aur mazoo wahain ka wahian he. shayed yehi ke baat samjh me ajay.


      Asal bat ye he ke Roohani ilaaj molja me jis tarah Dr. ke pas mareez samne hota he, woh osko check kerta he dekh ke, cho ke . moina kerna kerna he. bohat shaz o nadir ho koi Dr. hoga jo phone, internet ya kisi ke paygham ker ilaaj ker de.
      . esi tarah mareez hamare samny hona chahiye

      . ager mareez parde me he tu naam aur waldah ka naam, kion ke ye tashkhes ke liye zoroori he. Jis tarah baeemari amooman gosht me hoti he hadiyoon me nahi. Baqi haddiyon ki beemair abhi apni jaga he. Tu insaan ki paidaish me Orat ke jarasim se goshat aur Mard ke jarasim se hadiyaan wujood pati he. Jadu akser insaan ke jism ke us hidde per aser andaaz hota he jahan gosht ho. Aur jesa ke hum ne kaha ke gosht Orat yani Maa ke Asar se banta he. Es liye Ma aka naam zorori hota he. Huzoor pak per Jadu ke hawaly se riwayat me ghaliban yehi bhi aya he ke Farishtoon ne jo sawal jawab kiye tha os me huzoor pak ka naam maa’a waldah ke naam ke sath liya tha. Aur kabhi walid ka naam bhi darker hota he.

      . ager mareez hazir nahi he, balke kahian aur he ya dour daraz he tu tu oska gher ka address bhi chaihye hota he. waja bas itni he ke Ilm e Ghaib na tu hamary pas he na hi eska dawa kerty hian, Aalim ul ghaib Mahaz Allah he. ittefaq ho sakt ahe ke ke dunya me mareez aur waldah ka naam 1 se ziadah ho sakty hain. tu pin point target ke liye location bhi darkar hoti he. phir basa oqat jadu gher pe hota he mareez os se mutasir hota he.


      Ye batian ho sakta he kitaboon me na milain, aur ho bhi sakta he. Allah pak jise chahian Nawaz dain. Du aka talib.
      Wassalam
      shazli


      Similar Threads:
      داغ داغ مت کرو سب داغ دار ہے
      بے داغ تو وہی ہے جو پروردگار ہے


    2. #2
      Administrator Admin intelligent086's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      لاہور،پاکستان
      Posts
      38,412
      Threads
      12102
      Thanks
      8,639
      Thanked 6,948 Times in 6,474 Posts
      Mentioned
      4324 Post(s)
      Tagged
      3289 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Sawal : Roohani Amraaz me marez ka naam, waldah ka naam, aur address


      اہم اور مفید معلومات شیئر کرنے کا شکریہ
      جزاک اللہ خیر




      کہتے ہیں فرشتے کہ دل آویز ہے مومن
      حوروں کو شکایت ہے کم آمیز ہے مومن

    3. #3
      Respectable www.urdutehzeb.com/public_html KhUsHi's Avatar
      Join Date
      Sep 2014
      Posts
      6,467
      Threads
      1838
      Thanks
      273
      Thanked 587 Times in 428 Posts
      Mentioned
      233 Post(s)
      Tagged
      4861 Thread(s)
      Rep Power
      198

      Re: Sawal : Roohani Amraaz me marez ka naam, waldah ka naam, aur address

      بہت اچھی اور لاجواب شیئرنگ کا شکریہ
      آپ کی مزید اچھی اچھی پوسٹس کا انتظار رہے گا






      اعتماد " ایک چھوٹا سا لفظ ھے ، جسے
      پڑھنے میں سیکنڈ
      سوچنے میں منٹ
      سمجھنے میں دِن
      مگر

      ثابت کرنے میں زندگی لگتی ھے





    4. #4
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 Shazli's Avatar
      Join Date
      Sep 2014
      Posts
      106
      Threads
      20
      Thanks
      0
      Thanked 0 Times in 0 Posts
      Mentioned
      2 Post(s)
      Tagged
      2460 Thread(s)
      Rep Power
      19

      Re: Sawal : Roohani Amraaz me marez ka naam, waldah ka naam, aur address

      Bohat Shukria aap logoon ka post ko time dene ka.
      Jazak Allah

      داغ داغ مت کرو سب داغ دار ہے
      بے داغ تو وہی ہے جو پروردگار ہے


    5. #5
      Ken
      Guest Ken's Avatar

      Re: Sawal : Roohani Amraaz me marez ka naam, waldah ka naam, aur address

      G


    6. #6
      Star Member www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html
      muzafar ali's Avatar
      Join Date
      Nov 2015
      Posts
      2,772
      Threads
      481
      Thanks
      1,142
      Thanked 1,167 Times in 923 Posts
      Mentioned
      159 Post(s)
      Tagged
      497 Thread(s)
      Rep Power
      11

      Re: Sawal : Roohani Amraaz me marez ka naam, waldah ka naam, aur address

      nice sharing ka shukrya

      Kis Ki Kya Majal Thi Jo Koi Hum Ko Kharid Sakta Faraz,..Hum Tu Khud Hi Bik Gaye Kharidar DekhKe..?

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •