SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 3 of 3

    Thread: Tawheed

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Tawheed

      Aqeda e Tawheed:Khaliq e Kaainaat ke wujood par aitiqaad , use wahid aur la shareek mannaaur us ki sifaat ko taslem karna tawheed ke aqeede main dakhil hai.Khuda ka wujood - Daleel e Tasalsul:Kainaat ki koyi bhi cheez apne aap ko paida nahin karsakti. Jis cheez kawujod hi na ho is ke liye tasawwaur karna ke harkat main aajaye aur apneaap ko paida karle na mumkin hai. Isliye manna parta hai ke har cheez apnewujood main kisi doosri cheez ki muhtaj hai.Ab aya khilqat ka koyi nuqta e aaghaz bhi hai ya har cheez ka khaliq kisipichli cheez ko maanne ke sath ye silsila piiche hi jata rahe ga? Insaani aqlaakhir kar ye maanne par majboor hojati hai ke khilqat ka aaghaz aisi zat sehai jo khud kisi cheez se nahin bani aur jo qadem hai yani is ka wujoodhamesha se hai.Agar ye zaat kisi cheez se bani ho to dobara sawal paida hota hai ke is cheezka aur aisi cheez se bane huwe khuda ka khaliq kaun hai? Aur agar ham iszaat ke wujood main aajane ka koyi zamana mu’ayyan karte hain to yahisawal paida hota hai ke jab wo zaat us zamane se pehle na thi to kis ne usewujood bakhsha? Is tarah ham thak haar kar aisi hasti ke qaail hojate hain jokainaat ka nuqta e aghaz yani wajibul wujood hai.Maadda qadeem nahi hosakta:Agar koyi shakhs bataure daleel dawa kare ke maadde ka wujood hameshase tha jis se saari kainat bani aur aik ke baad aik hadithon ke sabab jaandarmakhlooq yahan tak ke insaan tak ban gaye to aj ke sciency irtiqaa’ kezamane main aisa dawa aasani se batil sabit kiya jasakta hai.Beesween sadi eeswi main science ke har sho’be main numayan taraqqiyanhuwi hain jis se kainaat ki tamam cheezon main aur khud insani jism mainhairat angez nizamon ke kaarfarma hone ka inkishaaf huwa hai jo kisi bhitarah hadithe ki paidawaar qarar nahin diye jasakte.Sare ulama aur hukama’ tasleem karte hain ke in nizamon ki takhleeq kisihakeem aur dana hasti ka kaam hai. Is cheez ko Quran main kaha gaya haike:“ham anqareeb hi apni qudrat ki nishaniyan atraaf e aalam main aurkhud inki nafson main bhi dekha denge yahan tak ke unpar wazih hojayega ke khuda ki zaat haq hai” (Surae hameem sajda) M06 Page AQA-30 v3.00Quran aur Tawheed:Quran majeed ki bohot si ayatain jin main insan ko aasman, sooraj, chand,sitaron, zameen, darakht, paharh, samandar, haiwan aur insaan ki paidaishpar ghaur karne ki dawat di gayi hai take wo Tawheed ko samjhain aur eimanlayain chunache sura e Haamim Sajda ki mandarja bala ayat aapne mulahizaki. Sura e Ambiya main irshad huwa:“Agar khuda e wahid ke alawa aasman aur zameen main aur khuda hoteto dunya tabah o barbad hojati”Sura e baqara main Sawal kiya gaya ke “Tum kyunkar khuda ka inkarkrsakte ho halanke tum maon ke batan main be-jaan the to usi netumhain zinda kiya, phir wahi tum ko maut dega phir wahi tum kodobara qayamat main zinda karega aur phir usi ki taraf lautaye jaoge.”Tauheed ka mukhtasar magar magar intihayi khubsurat aur jame’tasawwur sura e Ikhlas mein paish huwa


      Similar Threads:





    2. #2
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      158

      Re: Tawheed

      JazakAllah


    3. #3
      Moderator www.urdutehzeb.com/public_htmlClick image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      BDunc's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      8,431
      Threads
      678
      Thanks
      300
      Thanked 249 Times in 213 Posts
      Mentioned
      694 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      119

      Re: Tawheed

      Bht khoob


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •