SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 3 of 3

    Thread: Quran majeed

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Quran majeed

      Garmi ki shiddat se log be-chain hain, sooraj sawa naize par utar aya hai.Zameen itni tap rahi hai ke paoon nahi rakhe jate, fiza aag ki maanind garamhai, saans lena bhi dushwar hai, har shakhs saye ki talash main idhar udhardaur raha hai. Maidan-e-qiyaamat ke aisi haulnak mahaul main kuch afraadaise bhi hain jo itmenaan se saye main hain...na dhoop in ke liye masala haina garmi.Azeez talib ilmo!Bandgan e khuda ka ye giroh qayamat ke din ki sakhtiyon se kyun mehfoozraha? Khuda ne unhain saye ki ne’mat se kyun nawaza? Is ka jawab hameinrasool e akram ki hadeeth main milta hai. Aap ne farmaya:“Agar naikiyon ki zindagi aur shahidon ki maut aur hasrat (qayamat) kedin najaat aur hararat (qayamat) ke din saya aur gumrahi ke roz raahyabi chahte ho to Quran parho kyunke wo khuda ka kalam hai aurshaitani waswason se hifazat karne wala aur meezaane a’maal mainnaik amal ki zyadti ka ba’as hai”Rasool e Khuda ki ye hadeeth Quran majeed ki azmat ko wazih karti hai.Quran itni ba-fazeelat kitab hai ke uska parhna, sunna hatta ke dekhna bhiibadat hai.Is ki taleemaat par amal karne main dunya o akhirat ki kamiyabihai. Is ke bar-aks Quran se ghaflat khudawande ta’ala ki ne’maton se doorkardeti hai. Ahadeeth e ma’soomeen main is ki mazammat warid huwi hai.Imam Ja’far as Sadiq ne farmaya:“Roz-e-qayamat teen cheezain bargahe ilahi main shikayat kareingi:1. Wo weeraan masjid jis mein loag namaz na parhte hon.2. Wo aalim jo jahilon ke darmiyan ho (Yani loag us ke ilm seistifada na karein)3. Wo quran majeed jo ghar main gard-o-ghubar main ata para hoaur us ki tilawat na ki jati ho.Pyare bacho! Allah, Rasool aur aimma un loagon se khush hote hain joQuran Majeed seekhein, uski tilawat karein aur us ke ehkamaat par amalkarein. Hamare pehle Imam Hazrat Ali (AS) ne farmaya:“Jab loag gunahon ka irtekaab karte hain, to khuda tamam ehle-zameenpar azaab nazil karne ka irada karleta hai, magar jab jawanon ko namaz(masjid) ki taraf jate aur bachhon ko Quran seekhte huwe dekhta hai, tosab par rehm famata hai aur azaab mein ta’kheer fermata hai”.QURAN MAJEED KE BARE MEIN EHM MA’LOOMAT:o Quran Majeed mein 114 soortain hain.o Quran majeed mein 30 pare hain.o Quran majeed 33 saal mein nazil huwa. M06 Page AQA-25 v3.00o Nuzool ke aitabaar se Quran ki sab se pehli ayat ye hai: “IQRA BI’ISME RABBIKAL LAZI KHALAQ (Us khuda ka nam lekar parho jisne paida kiya hai)Ye ayat surae alaq main hai jo ghaare hira main nazil huwi.o Nuzool ke aitabaar se Quran majeed ki aakhri ayat ye hai:“Alyauma akmalto lakum deenakum wa atmamtu alaikum ne’matiwa razeetu lakumul islama deena”(Aaj maine tumhare liye deen ko kamil kardiya hai aur apnine’maton ko tamam kardiya hai aur tumhare liye deene islam kopasand kiya hai)Ye ayat surae Maida main hai jo maidan-e-ghadeer main us waqt nazil huwithi jab Rasool-e-Akram (SAW) ne hazrat Ali (AS) ki wilayat ka ailaan kiya tha.o Quran majeed ki sab se choti soorat “Al Kawthar” haio Quran ki sab se bari soorat “Al Baqara” hai.o Tarteeb ke lohaz se sab se pehli soorat “Al hamd” hai aur sab se chotisoorat “Al Kauthar” hai.o 76 soortain Makka mein nazil huwein aur 28 soortain madina mein.o Sura e tawba Quran ki woh wahid soorat hai jis mein “Bismillah hirrahmanir Rahim” nahi hai.o Soora e Naml mein do martaba “Bismillah hir rahmanir Rahim” hai.o Quran Majeed mein sirf aik khatoon - hazrat Isa ki walida janabMaryam ka naam aya hai.o Quran majeed mein Rasool e Akram ka ism e girami “Muhammad“char martaba aaya hai aur “ahmad“ aik martaba aya hai.o Quran ki chaar ayatein aisi hain jinko parhne se sajda wajib hojata hai.Ye ayatein sura e Alif LaamMeem Sajda (sura no. 32), sure Haameemsajda (sura no. 41), sura e najm (sura no. 53) aur sura ‘Alaq (sura no.96) main hain.o Sura ad Dahr Quran majeed ki wo soorat hai jo shuroo’ se aakhir takahle bayt ki shaan main nazil huwi.o Ahle bayt ki taharat ka zikr suratul ahzab ki ayat no. 33 main hai. Isayat ko aya-e-tatheer kehte hain:“Innama yureedullahu liyuzhiba ankumur rijsa ahlal bayte wayutahhirakum tatheera”.(Bas Allah ka irada ye hai ay ahlul bayt ke tum se har burayi ko durrakhe aur is tarah paak o pakeeza rakhe jaise paak o pakeeza rakhneka haq hai.)o Ahle bayt ki mawaddat ka zikr sura e Shura ki ayat no. 23 main huwahai. Ise aya e Muwaddat kehte hain:“Qul laa as’alukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba” M06 Page AQA-26 v3.00(Aap keh deejye ke main tum se is tableeghe risalat ka koyi ajr nahinchahta alawa is ke keh maire aqraba se muhabbat karo)o Aya e Durood Sura e Ahzab ki ayat no. 56 ko kehte hain:“Innallaha wa malaikatahu yusalluna alan nabi. Ya ayyahullazeenaamanu sallu alyhe wasallimu tasleema”(Be shak Allah aur us ke malaika Rasool par salawat bhejte hain. Toay sahibaan e eeman! Tum bhi in par salawat bhejte raho aurbarabar salam karte raho)o Ahle bayt ki wilayat ka zikr sura e Maida ki ayat no. 55 main huwa hai.Ise aya e Wilayat kehte hain:“Innama waliyyukum ullahu wa rasooluh wallazeena aamanullazeena yuqeemoonas salaata wa yu’toonaz zakaata wahumraaki’oon”(Ay eeman walon! Bas tumhara wali Allah hai aur us ka rasool haiaur woh sahibaan e eiman jo namaaz qaim karte hain aur halateruku’ main zakat dete hain)o Imam e Zamana ki hukumat ka tazkira sura e Qasas ki ayat 5 mainhai:“Wa nureedu anna munna ‘alal lazeenas tuz’ifu fil arzi wa naj’alahumaimmatan wa naj’alahumul waaritheen”(Aur ham ye chahte hain ke jin logon ko zameen main kamzorbanadiya gaya hai, un par ehsan karain aur unhain logon kapeshwah banadain aur zameen ka warith qarar dain.)o Sura e Ikhlaas main khuda ki tawheed ka zikr hai. Is liye ise SuareTawheed bhi kehte hain:o Sura al Hamd Quran Majeed ki wo soorat hai jo bande ki zuban mainnazil huwi yani is soore main banda allah se mukhatib hai.o Quran Majeed ne tamam logon ko apni misl ya aik sure ki misl lane kachallenge kiya hai. Ye challenge surae Yunus ki ayat no. 38 main hai:o “Am yaqoolun aftarah. Qul fa’tu bi suuratim mislihi wad’u manistata’tum min doonillahi inna kuntum sadiqeen.(Kya ye loag kehte hain ke ise paighmbar ne gharh liya hai? To kehdeejye ke tum iski jaisi aik hi soorat le aao aur khuda ke alawa jisechaho apni madad ke liye bulalo, agar tum ilzam main sachche ho.)is ke ilawa ye challenge Suar e Baqaraa aur sura e Hud main bhi kiyagaya hai.“Tum main se behtareen shakhs wo hai jo quran seekhe aur doosronko sikhaye”Rasool e Akram (SAW) M06 Page AQA-27 v3.00SAWALAT1. Rasool e akram ki hadeeth ki roshni main bataiye ke Quran Majeedki tilawat se dunya aur akhirat main kya fawaid hasil honge?2. Khudawande alam gunahgaron par azab nazil karne main ta’kheerkab farmata hai?3. Nuzool ke aitabar se Quran e Majeed ki aakhri ayat konsi hai aurkis mauqe’ par nazil huwi ?4. Aya e durood aur us ka tarjuma likhain


      Similar Threads:





    2. #2
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      158

      Re: Quran majeed

      JazakAllah


    3. #3
      Moderator www.urdutehzeb.com/public_htmlClick image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      BDunc's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      8,431
      Threads
      678
      Thanks
      300
      Thanked 249 Times in 213 Posts
      Mentioned
      694 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      119

      Re: Quran majeed

      Bht khoob


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    muwaddat e filqurba

    ajr o kum innallah

    innallaha wa malaikatahu in arabic ayat no

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •