Assalam o Alaikum all
kaise hain sab..must be fine IN SHA ALLAH..
aik baat hai waise...wo ye baat hai..
ke male kitne naa kaara hote hain
saare kaam kaaj, milna julna aur mehmaan nawaazi khawateen karain
aur males tamaam ke tamaam sirf dishes aur gappoun ko enjoy karain..:D
chalain koi nahi.issi main Allah pak barkat de..aameen.
zara bataaiye aap logon ne eid ke teen din kaise kaise guzaare..
meri details ye rahi..
first day..moring..ghar ki achi si safaai, then cooking,
Pulaow
shami kabab
chana chat
and sheer khurma..
ye must hai hamare haan pakaaye jaane..
MashaAllah 6 nanndain...aur 3 ye log bhai...phir unke kids...all in young age..toh kitna haana pakaaya hoga main ne..aap log andaza laga sakte hain..
and then..raat 11.30 tak is khaane ko host karti rahi..sab ikhatte invite nahi kiye..kion ke thakk jaati bohot..eid pe koi helper bhi nahi milna tha..idhear bartan lagaye.udhar bartan dho daale. ..non stop mehmaan nawaazi..
thn 2nd day..haaye..my fav day..
went to ammi abbu .. ..
stayed one night with them
then back to home next day..means third day of eid..raat ko gai thi..so rest kia..
then 4rth day of eid...main ne tamaam inlaws ko visit kia...achi si taiyaari ke baad.. ..sab ki farmaaish thi..ke kaam karte daikha eid pe..taiyaar nahi daikha..so farmaaish poori karna banti thi.
kal ka din rest karne main guzaara....
aur aaj se back to work..matlab online on daily basis.
ab aap sab ki baari..ho jaaiye shroo..
Similar Threads:
Bookmarks