Quote Originally Posted by Arosa Hya View Post
wa alaikum aslam !

This is the worse act.......... specially agar family mai baap aisa rwayya apnata hai to wo kbi apni oulad se izzat nhi krwa skta...
Jesa k hadees e mubarak ka mafhoom hai aurat pasli ki tra hai agar ise seedha krne ki koshish kro ge to toot jaye gi
aurat ko smjana boht asan hai ap piyar or ache treeqy se apni koi b baat manwa skte hain ye female pscycy hai
agar ap aik seedhi si sahi baat b bad ikhlaqi se krte hain to yaqeenan us k ehsasat b majro hon ge or is se mard k izzat o waqar mai koi izafa hrgiz nhi hota
lehaza aisa fael sirf wohi mard kr skte hain jin k pass ye salahiyat nhi k wo aurat ko piyar se smja skain.....

Or rahi baat extreme condition ki k agar aurat sahi baat b piyar se smjany k bawjood nhi man rahi tb osy ghalti se rokne k liye aisa na gazeer ho to kia ja skta hai
magar tashaddud ki sorat main hrgiz nhi.... apka maqsad islah hona chahiye inteqam ya gussa nhi !!
Bilkul sahi kaha ap ne aroosa. mard ka aurat par hath uthaane ka maqsad islaah hona chaahiye. naa ke ghussa ya intiqaam.aur aisa bhi ba haalat-e-majboori hi ho sakta hai.aik acha point raise karne par shukria.