assalam o alaikum
jesa ke mene apa se kaha tha ke me kuch izhaar e khayal ekrna chahta hon aap ke thrad per tu me hazir hon.
aap ka thread bohat umdah aur sabaq amoz he. jis ki core ye he ke insaan Saber aur Himmat se kaam lay aur Allah pak ki zat per tawwakal kary tu bayshak Allah pak apna na sirf apna Khas Qurb atta fermaty hain. bvalke aap ki hajat ko poora bhi kerty hain.
Dua ibadat ka Maghaz kehlati he. jo ke dar-asal ek kafiyat ka naam he. ek aisi kefiyat jis me bandah apny rab se Ijz o inkesari ke sath rujoo hota he. nafermaniyon per maafi aur matlooba maqasid ka hasuoool talab ekrta he.
Wazifa ko Dua se hut ekr na samjha jay. ye Wazifa Dua hi he jis me bandah apne rab se os Khas ayat, ism ya iabarat ke zariya maded talb karta he. aur bar bar maangta he. waqt muqarar kerta he. apni hajat ki takraar kerta he. aur os ke poora hone ki umeed bhi kerta he.
eska ye matlab hurgiz nahi ke aap wazaif ke zariye Allah pak ko naozobillah majboor ker sakty hain. ya aap ki hajat poori honi hi honi he. ye Aqeedah ke khilaf baat he. Allah pak ki zaat ke liye koi kaam wajib nahi. woh apny amoor ke kerny ke azaad he.
tu jis tarah se dua me umee e qoboolyat shrt he esi tarah se waziaf me bhi umeed lagany rakhna shaurt he. kion ke Allah pak pany bandy se oske guman ke mutaliq muamla kerta he. Allah pak ki riza hasil kerne ke sab se afzal aur Asaan tareeqa Ziker he. aur ye Wazaif hian hi ziker.
Allah pak hum sb ko zaakreen me shumaar akrian aur Ziker ki toufeeq dain.
wassalam
Bookmarks