SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    View Poll Results: Interview ka ye tareeqa jis main at a time sab hi invited hain.aap ko kaisa laga

    Voters
    0. This poll is closed
    • acha laga

      0 0%
    • bura laga

      0 0%
    • bas theek hai

      0 0%
    • theek hai lekin koi khas nahi.

      0 0%
    Closed Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 10 of 11

    Thread: Invitation

    Threaded View

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Invitation

      Assalam o Alaikum

      this thread is for all UT members & admin
      so kindly all of you are invited to reply this thread.
      thnx.

      All of you are invited for this Interview
      Kindly apna apna interview thread post karain.. bari meherbaani hogi.

      is ke ilaawa aap aisa bhi kar sakte hain ke apne friends ko invite kar lain.
      its upto u ke kia karna hai..khud aana hai is hot seat pe. ya kisi aur ko bhi bulaana hai..

      so my sweet friends all of you are welcome on this

      Hot seat
      for interview..

      thnx..



      1-how are you? aur yahan is hot seat pe baith ke kaisa lag raha hai.

      2-ye bataiye sab se pehle aap ke zehen main aisa koi sawaal aaya keh kahin ruby ye na pooch lain, agar aisa koi sawal aaya zehen main toh wo sawal kia tha.aur uska jawab kia hoga.

      3-apni family aur baaqi qareebi logon ke bare main kuch batayain..

      4-aap ke friends kitne hain, aur dostoun ko aap apne kis qadar qareeb rakhte hain?

      5-waaldain toh hote hi bohot pyaare hain, par kisi aik ke qareeb ham ziaada hote hain. aap kis ke qareeb ziada hain? ammi ya abbu?

      6-aap ki age, qualification, feild, aur job se related information?

      7-aap khud toh zaahir hai apne baare main raaye dena nahi chaahainge, magar apne moonh miyaan mithoo hona chahain toh most welcome. magar apni friends ki nazar main bhi ya baqi logon ki nazar main aap ki over all look kaisi hai?

      8-khud main aap ko sab se ziaada Allah pak ki di hui naimatoun main se kia pasand hai?(face features).mujhe pata hai agar main is question ko define na karon toh aap toh baal ki khaal utaar lainge..

      9-mizaaj ke kaise waaqe hue hain

      10-adab se koi dilchaspi?

      11-life ko entertain karne ke liye aap ka man pasand mashghala

      12-man pasand food and drinks?

      13-bachpan, jawaani ya burhaapa..in main se konsa time period aap ke lehaaz se best hota hai

      14-insan ko zindagi ke ye phases kaise guzaarne chaahiye define karain, childhood,young age,old age

      15-UT par bohot hi mehdood list hai aap ke friends ki.. ..aisa kion?

      16-rich, poor, middle class..in teenoun classess ki best and bad characteristics define karain?

      17-farz karain..jabrann(zabardassti) aap ko snow falling main le jaaya jaye. wahan jaa ke coffee ya tea bhi nahi balke soup bhi nahi peene dia jaye.balke aap se kaha jaye ke dhair saari ice cream khaaiye..toh aap kia karainge?

      18-zindagi ke kisi faisle ke waqt pe agar aap ke samne majboori ya sacrifice ka option aa jaye.toh aap konse option ko choose karne waale hain?

      19-dressing kaisi hai aap ki? man pasand dress kia hai

      20-zindagi se kia haasil kia? aur kia seekha..


      tamaam sawalaat mehez mere zaati zehen ki zaati paidawaar hain, inko siaasat ka hissa na samajhte hue. zaatyaat pe na liya jaye..warna nataaij ke zimmedaar aap khud honge..

      filwaqt fata fat ye hi sawaal mere zehen main aaye..baaqi maanda sawalaat aap ke jawabaat ke hisaab se hote rahainge. abhi in ke jawabaat diijiye...

      be had shukria..

      your turn now.


      Sawalaat ke jawabaat dene ke liye aap is link par apna thread with answers post karain

      http://www.urdutehzeb.com/forumdispl...-UT-Interviews



      Similar Threads:
      Last edited by CaLmInG MeLoDy; 07-03-2014 at 12:07 AM.





    2. The Following User Says Thank You to CaLmInG MeLoDy For This Useful Post:

      Shahid Bhai (04-26-2017)

    Closed Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •