google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.
    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 5 of 5

    Thread: Aaqa Karim Ki Aamad

    1. #1
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Aaqa Karim Ki Aamad


      Aaqa Karim Ki Aamad

      Kiya Aaqa Karim ki aamad kisi hadsay ya kisi waqti zarorat ka nateja thi?
      Nahain,
      Bilkul nahain.
      Aap ki tashreef aavri bohat pehlay say teh thi aur es amar say motalaq qadeem ambbiya karam kay haan paish’goeaan mojood hain. Ba’toor hawala chand eak ka tazkira kiay deta hoon:
      Jama’sap Hazrat Zartusht kay Khalifa-e-Azam thay. Onhoon nay qaiamat tak kay paish aanay walay hadsoon ki paish’goeaan kein. Oon main Hazoor (Oon par Dhairoon Darood ho) ka bhi zikar baray wazay alfaaz main mojood hai, malahza farmaein:

      "Aaftaab ka kitabi hath ba’janab zohra aur zohra ka gohar wala
      hath aatarad ki taraf aur aatarad ka rukh janab-e-zohal
      mah-o-mushtari yak’ja. Jab aisa ho to samjh lo kah sab kaam
      thek ho gay. Zamana (moashra, halaat) darust ho ja’ay ga.
      Badshah adal karay ga.(1)
      pher eak qeran* paray ga jis main Olad-e-Hasham
      say eak mard-e-bazurg paida ho ga jo qad main maiana hai rang main
      gora na kala (saanvla/gandmi), khoob’surat, khush kalaam,
      sehar biyan dawa-e-nabovat karay ga.
      Talwaar os ki burhan ho gi. Apnay mazhab ki zanjir bohat say logoon kay galoon main
      dalay ga. Os ka mazhab sathoon walaet main ja’ay ga.
      -------os ki Olad-e-narena na rahay gi albata larki say naam chalay ga.
      Os ka deen den ba’den taraqi karay ga." (2)

      Doo teen hawalay Bible say dararj karta hoon:
      1- "Kiya tum nay Kitab-e-Moqadas main kabhi nahain parha kah
      jis pathar ko mimaroon nay rad kiya**
      wohi konay kay seray ka pathar ho giya(3)
      yah Khuda'wand ki taraf say howa
      aur hamari nazar main ajeeb hai?
      Es liay mein tum say kehta hoon kah Khuda ki badshahi tum
      say lay li ja’ay gi aur os qoom ko jo os kay phal la’ay gi, day de
      ja’ay gi" (4)

      2- "Pher mein nay aasman ko khola howa dekha aur kiya
      dekhta hoon kah eak safaid ghora hai aur os par eak
      sawar hai (5) jo sach aur ba’haq kehlat hai aur woh rasti kay
      sath ensaaf aur larae karta hai. Os ki aankhain aag kay sholay
      hain aur os kay sar par bohat say taj hain (6) aur os ka naam
      likha howea hai."(7)

      3- "Mein nay yah batain tumharay sath reh kar tum say kein.
      Likin madad’gar yaeni Rooh-ul-Qodas jisay baap mairay
      Naam say bhijhay ga*** wohhi tumhain sab batain sikhay ga
      aur jo kuch mein nay tum say kaha hai wo sab tumhain
      yaad dala’ay ga.(8)

      "The Gospel of Barnabas" kay bhi doo teen hawalay daikh lain:

      1- " As for me,
      I am now come to the world to prepare the way for
      the messanger of God, who shall bring salvation to the world." (9)

      2- " I tell you that thither shall come {even}the messanger of God,
      to behold the justice of God. There upon hell shall tremble at
      his presence." (10)

      3- "He is Mohammad, messanger of God, and when he comth into
      the world, Even as the rain maketh the earth to bear fruit when
      for along time it hath not rained, even so shall he be occasion
      of good works among men, though the abundant mercy which
      he shall bring. For he is a white cloud full of the mercy of God,
      which marcy God shall sprinkle upon the faithful like rain." (11)

      Sawal paida hota hai kah aap Arab main aur kisi makhsus ehad main hi kaioon tashreef la’ay?

      "Khabeer" aur "Baseer",
      Allah kay doo sefati naam hain. Allah say ziyada koon jany ga:
      1. kab kiya hona hai
      2. Kab kiya karna hai ya
      3. kab kiya hona chahiay
      En omoor ki Allah kay say basarat aur baserat kisay ho gi. Zara Bible Moqadas kay es jumlay par ghoor karain:

      "Es liay mein tum say kehta hoon kah Khoda ki badshahi tum say lay
      li ja’ay gi aur os qoom ko jo os kah phal la’ay ga, dai de ja’ay gi."

      Allah sar’kashi pasand nahain karta. Tawazan ki kharabi os kay takhleeq kiay howay kaenati nazam ko darham barham karti hai. Es liay her seh omoor ki zaroorat kay tehat Aap ka tashreef lana lazam qarar pata hai.

      Qiamat barpa karnay kay liay koe daleel aur hujat bhi to hona chahiay thi ta’kah insan kay paas shakaet ki gonjaesh hi na rahay.

      Soo gaz rassa seray pay ghanth, Aap to hamesha say aur hamesha kay liay hain.
      Zara ghoor karain; Kalma taeba jo Musalmi ki ebtada aur jar hai, yoon hai:

      La : Nahain
      Ela : Mabood(12)
      Ella : Seva
      Allah : Allah (13)
      Allah kay siwa koe (bhi) Mabood nahaim

      Mohammad : Hamad kiya giya, jiss ki hamd ki gae ho (14)
      Rasool : tarseel karnay wala
      Allah : Allah

      Mohammad Allah kay rasool

      Allah aur Mohammad (Oon par Daroodho) ) kay liay koe tha, hai ya ga ka segha mojood hi nahain. Goya oon (Donoon) ka hamaisha say hona sabat hai.
      Woh kab nahain thay aur kab nahain hoon gay?!
      Woh to "assr" (zamana) hain.
      Hum "assr" ko kiya janain. Hum to essay denoon, mahenoon, saloon aur sadioon wala waqt samjhtay hain jab’kah "assr" en say bala aur alag cheez hai. (15)

      Tasleem ki baat dusri hai. Assr ko tasleem na karnay say os par kiya faraq paray ga?!
      Kuch bhi to nahain,
      haan tasleem karnay ya na karnay walay par zaroor assar moratab ho ga.
      Hum asar (Allah) kay liay hain.
      Kitaab parho gay to aaghi milay gi nahain parho gay to kitaab ka kiya bigray ga.
      Jotay jahar kar pehno gay to noqsan say bach jao gay warna jotoon ki sehhat par kiya assar paray ga.
      Chori nahaion karo gay to pols kay jotay nahain khao gay, bai’izzati nahain ho gi, ghar walay dar ba’dar nahahin hoon gay, moashray ka tawazan kharab nahain ho ga.

      Zana na karnay say:
      1- la’shaoor ko noqsan nahain ho ga
      2- Damagh khoof aur dar say kamzoor honay say bachay ga
      3- Viraj zaya nahain ho ga jis kay sabab jisam mutwazan rahay ga
      4- Gher kay ghar tumhara bacha na honay ki surat main "mama" kehlanay say mehfooz raho gay

      Ab yah sab kartay ho to asar ko kiya faeda ho ga, nahain kartay ho to os ka ossay kiya noqsan ho ga, kuch bhi nahain. Wo to waisa hi rahay ga jaisa kah wo hai.

      Tasleem to yah hai:

      1- Zoban say eqrar karo
      2- Dil say mano kah jo eqrar kar rahay ho wo ossi tara say hai aur bar’haq hai
      3- Amal her doo amoor kay motabaq ho

      Asar ko,
      waqt yah phir khita-e-arz say makhsus nahain kiya ja sakta kaioon’kah es ka ta’alaq hameshgi say hai. Kalaam malahza farma lain es ka mokhtab Insan hai na’kah koe makhsus Qoom ya khita-e-arz kay log. Goya asar**** kay jitna qareeb jao gay otna hi nikhro gay, phalo gay, pholo gay, taraqi karo gay. asar***** ki mohabat jab eshq ka roop ekhtayar karti hai to Iqbal ka yah kaha samjh main aa jata hai:

      Ki Mohammad say wafa to nay to Hum(16) teray hain
      Yah jahan cheez hai kiya, loh-o-qalam teray hain
      ...........................
      Hawashi
      1- Nosherwaan aadal badshah1ka ehad
      2- Jama’sap Nama, p.15
      asal kitab yand main hai Issay eak fazal irani nay, naam
      daraj nahain, farsi main tarjama kiya jabkah Urdu tarjama Mohammad-ul-Wahdi
      nay kiya aur yah kita daftar nazam-ul-mashaekh dehli nay motalia-e-aam-o-khas
      kay liay 1912 main pesh ki.
      3- Aakhri Nabi
      4- Anjeel Mati baab No. 21 v. no. 43, 44, yah baat Anjeel Murqas kay baab No. 12
      v. No. 10,11 main bhi daraj hai. Kitab-e-Moqadas, Bible Society Anarkali Lahore, 1972
      5- Maraj shareef
      6- Aap ki Shareat kisi eak qoom, khita-e-arz ya kisi eak ehad tak mahdood nahain. Aap ka peghaam her ba’shaoor makhlooq kay liay hai aur os ki aata’at oon sab par wajab hai.
      7- Makashfa baab 19 V. No. 11, 12 13 . Kitab-e-Moqadas, Bible Society Anarkali Lahore, 1972
      8- Yohanna, baab No. 14 v. 25, 26, 27 Kitab-e-Moqadas, Baebal Society Anarkali Lahore, 1972
      9- The Gospel of Barnabas chp.72 p.91 Oxford at clearendon press 1907
      10- The Gospel of Barnabas chp.136 p.175 Oxford at clearendon press 1907
      11- The Gospel of Barnabas chp.163 p.212 Oxford at clearendon press 1907
      12- Jis ki ebadat ki ja’ay
      13- Esm-e-zaat
      14- Already hamd wala, yaeni aaj hi nahain
      15- Es ko ashab-e-Kaf, Hazrat Ozer (pbh)aur Hazoor ki meraj kay tanazar
      main dekhain gay to moamla wazay ho ja’ay ga
      16- Allah
      * 20 saal
      ** Hazrat hajra aur Hazrat Ismaeel (pbuh)
      *** Aap nay jumla ambia Karam ki tasdeeq ki aur oon ki talemaat ko bar’haq kaha.
      Meem Mase aur Mahammad donoon kay sath hai. M+ASE, Mo+Hammad. Sura Fateya main Hamd kay sath al ka sabqa hai jo ossay makhsus banata hai essi tara hamd kay sath meem ki jurt ossay mukhus suft kay darjay par faez karti hai.
      **** Allah aur Mohammad
      *****jo sab kay liay aur sab oon kay liay hain


      Similar Threads:

    2. #2
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Re: Aaqa Karim Ki Aamad

      Allah aur Mohammad (Oon par Darood ho) ) kay liay koe tha, hai ya ga ka segha mojood hi nahain. Goya oon (Donoon) ka hamaisha say hona sabat hai.

      morad Allah ki alhoiat aur Mohammad ki risalat
      Allah qaem bilzaat hai aur Hazoor Karim Allah ki ala'tarein takhleeq hain.
      Allah la'zamani hai Hazoor zamanay ke sath hain yaeni aghaz zamana aap ki zaat se howa ta aur baad akhir bhi


    3. #3
      Respectable www.urdutehzeb.com/public_html KhUsHi's Avatar
      Join Date
      Sep 2014
      Posts
      6,467
      Threads
      1838
      Thanks
      273
      Thanked 586 Times in 427 Posts
      Mentioned
      233 Post(s)
      Tagged
      4861 Thread(s)
      Rep Power
      199

      Re: Aaqa Karim Ki Aamad

      Thanks for great sharing






      اعتماد " ایک چھوٹا سا لفظ ھے ، جسے
      پڑھنے میں سیکنڈ
      سوچنے میں منٹ
      سمجھنے میں دِن
      مگر

      ثابت کرنے میں زندگی لگتی ھے





    4. #4
      Star Member www.urdutehzeb.com/public_html hir's Avatar
      Join Date
      Jul 2015
      Posts
      969
      Threads
      26
      Thanks
      0
      Thanked 11 Times in 9 Posts
      Mentioned
      7 Post(s)
      Tagged
      1116 Thread(s)
      Rep Power
      25

      Re: Aaqa Karim Ki Aamad

      Thanks for sharing nice post


    5. #5
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      84

      Re: Aaqa Karim Ki Aamad

      bari bari meharbani janab
      Allah aap ko khush rakhe



    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •