From: Meri Zaat Zara-e-Bay Nishan

Har aik ko bhikari bana kar rastay main bithaya hua hai, aur har aik khud ko malik samjhta hai. Jab tak thokar nahi lagti,jab tak ghutnoon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa. Wajood k naseeb main hai bhikari hona, bus Zaat bhikari nahi ho sakti. Wajood k muqadar main maangna hai Zaat ka wasaf daina hai.

Sab bhikari hain. Aaj nahi tu Kal, Kal nahi tu parson kabhi na kabhi bhikari ban'na hi parta hai. Maang'na hi hota hai. Koi Ishq maangta hai, koi Duniya aur jo yeh nahi maangta wo Khawahish Ka Khatam hona maangta hai.